|
|
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 30
|
Naadaan Ki Mazaar Hai -
25th August 2009, 05:52 PM
Bazm-e-mehfil ko Salaam,
Ek adna koshish aap sab ki khidmat meiN. Ummiid haiN muskurayeNge bhi aur pasanD bhi kareNge aap sab.
Nabz kamzor, aaNkhe nam, khud kalaam bukhaar hai,
Reham kar ai khuda, banda la-ilaaj, ishq kaa bimaar hai
(Khud Kalaam=khud se baateN karna)
BayaaN kartii laali-e-chasm hai, guzre shab ka suruur,
Pyaar se dekha is naachiiz ko, go utraa nahi khumaar hai
Aur bhi haiN qaid humse, us shama ke parwaane yahaN,
Qaid khaaney meiN guuNj rahi “pehle mai” ki pukaar hai.
Aafat aan pa.Dii shehar meiN, jo rozoN ke paaband thay,
Kal dekh usko jharoke maiN, manaaya Eid ka tyohaar hai.
KiwaadoN par pa.De taale, har koocha-o-gali wiraan hai,
Hujuum jama markaz-e-shehar, aanewaala koi bazaar hai.
(Hujuum=Crowd, Markaz=Centre)
Samuucha qurb-o-jawaar aag ki laptoN meiN jhulas raha,
Suna hai shringaar ke liye sarkar ko roshni ki darkaar hai.
(Qurb O Jawaar= Neighborhood, Paas-pa.Dos)
Suna, suurat nahi kaabiliyat, us haseeN ka taqaaza hai,
Namaluum tha daulat bhi, kabiliyatoN meiN shumaar hai.
Khuun, pasiine, arman, mohabbat se banaya tha ye ghar,
Ab taakat-e-zar-o-fareb-e-ishq se “naadaan” ki mazaar hai.
(Zar=Money/Paise)
Aap ki rai ka besabrii se intezaar rahega.
Aadab,
Shyam.
"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.
वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
|
|
|
|
|
Tanhaa Raahi
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
|
17th September 2009, 12:04 AM
Quote:
Originally Posted by naadaan

Shyam Ji...!Accha lagaa aap ka yaha kalaam...! Hum muskaaye nahin par isse hum ne bahut pasand kiya...!
7th sher kuch khaas lagaa...!
Keep it up. ok...?
Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai
|
|
|
|
|
nida
Offline
Posts: 1,824
Join Date: Aug 2009
Location: Vaishali Nagar,Bhilai ,(Deep Vision & Analysis Thinkings then way )
Rep Power: 28
|
ek farz -
17th September 2009, 07:25 AM
naadaan ji
aapan wakai me bahut aacha likha hai theme kaafi jabardast hai
daad kabuk kijiyega
ajay nidaan
Ajay Nidaan (09630819356)
http://www.anidaan.@gmail.com
All right reserved with Poet@Ajay nidaan
Kisi ek chehare ki talash me bhatakti rahee zindagi
par mila nahi zindagi ko apni pahchaan ka chehara.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 30
|
19th September 2009, 12:09 PM
Danny Bhai Aadaab,
Aapki hausla afzaai ke liye shukriya. Aapne apna kimati waqt mere thread par diyaa iske liye mamnoon huuN. Apna saath banaye rakhiyega. JaankaaroN ki hausla afzaai ka lag marataba hota hai.
Aap ke waqt ke liye fir se shukriya.
Aadaab,
Shyam
"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.
वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 30
|
19th September 2009, 12:37 PM
Quote:
Originally Posted by ajay nidaan
naadaan ji
aapan wakai me bahut aacha likha hai theme kaafi jabardast hai
daad kabuk kijiyega
ajay nidaan
|
Ajay Bhai Namashkar,
"Woh aaye humaare thread pe, kabhi hum unko kabhi thread ko dekhte haiN."
Dhanyavad Ajay bhai aapke protsahan ka. Prayas rahega ki aap sab ke maapdand par khara utaruuN.
Sadhanyavad
Shyam
"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.
वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|