Naadaan Ki Mazaar Hai -
25th August 2009, 05:54 PM
Bazm-e-mehfil ko Salaam,
Ek adna koshish aap sab ki khidmat meiN. Ummiid haiN muskurayeNge bhi aur pasanD bhi kareNge aap sab.
Nabz kamzor, aaNkhe nam, khud kalaam bukhaar hai,
Reham kar ai khuda, banda la-ilaaj, ishq kaa bimaar hai
(Khud Kalaam=khud se baateN karna)
BayaaN kartii laali-e-chasm hai, guzre shab ka suruur,
Pyaar se dekha is naachiiz ko, go utraa nahi khumaar hai
Aur bhi haiN qaid humse, us shama ke parwaane yahaN,
Qaid khaaney meiN guuNj rahi “pehle mai” ki pukaar hai.
Aafat aan pa.Dii shehar meiN, jo rozoN ke paaband thay,
Kal dekh usko jharoke maiN, manaaya Eid ka tyohaar hai.
KiwaadoN par pa.De taale, har koocha-o-gali wiraan hai,
Hujuum jama markaz-e-shehar, aanewaala koi bazaar hai.
(Hujuum=Crowd, Markaz=Centre)
Samuucha qurb-o-jawaar aag ki laptoN meiN jhulas raha,
Suna hai shringaar ke liye sarkar ko roshni ki darkaar hai.
(Qurb O Jawaar= Neighborhood, Paas-pa.Dos)
Suna, suurat nahi kaabiliyat, us haseeN ka taqaaza hai,
Namaluum tha daulat bhi, kabiliyatoN meiN shumaar hai.
Khuun, pasiine, arman, mohabbat se banaya tha ye ghar,
Ab taakat-e-zar-o-fareb-e-ishq se “naadaan” ki mazaar hai.
(Zar=Money/Paise)
Aap ki rai ka besabrii se intezaar rahega.
Aadab,
Shyam.
"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.
वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
|