Na Tumhare Rah Roke Be-Adab Zamana! -
6th December 2004, 03:29 PM
Ko_ii laa sako to laao meraa vo hasin zamaanaa
Jise main ne kuchh na samajhaa jise main ne kuchh na jaanaa
Mujhe Gam nahin hai is kaa ki badal gayaa zamaanaa
Merii zindagii ke maalik kahiin tum badal na jaanaa
Mujhe yaad aaj bhii hai jo karam huaa hai mujh pe
Mujhe Gam abhii hai taazaa mere saamane na aanaa
Ye andherii raat mein tum kahaaN jaa rahe ho tanhaa
Na tumhaarii raah roke kahiin be-adab zamaanaa
azim
|