Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main... - 27th June 2005, 02:12 PM

dosto...

aapki nawaazish ki talabgaar...

Soch mein hoon apne dil pe kaisee aah likh jaaon main
Bolo tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main

Gile, shikwe ya tohmatein, humse kuch tau silsila rakho
Chodho hum kahan duub rahein hain, tum tau kinara rakho
Haadse roz hua karte hain, kisko gavaah likh jaaon main

Daur-e-ishq mein khokar humne, kya kya dekho kar daala
Sadiyon se pyaase honthon ko angaaron se bhar daala
Apni barbaadi ko bolo, *gard-e-raah likh jaaon main

[color=dark brown]Dirt of the street[/color]

Kabhi phaila jo baahon ko, khushi ka humne *ehteraam kiya
Badhkar *ehasaan-faramosh ghamon ne, hamko hai salaam kiya
Kismet mein likhi *ibaarat ko, kaise panaah likh jaaon main

[color=dark brown]Regard, pay respect
Ungrateful
Wording[/color]


Hamein dil se hai lena kya, tum hans kar saveraa kar lo
Dil humara hai ghar tumhara, jab tak chahe baseraa kar lo
Be-qadr tuute rishte ko ‘paras’, teri chaah likh jaaon main

Bolo tumko qaatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main...
Old
  (#2)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main... - 27th June 2005, 02:22 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
dosto...

aapki nawaazish ki talabgaar...

Soch mein hoon apne dil pe kaisee aah likh jaaon main
Bolo tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main

Gile, shikwe ya tohmatein, humse kuch tau silsila rakho
Chodho hum kahan duub rahein hain, tum tau kinara rakho
Haadse roz hua karte hain, kisko gavaah likh jaaon main

Guddo didi

bohat hi sateek aur dil pe bhari padne wala ye kalaam mujhe behad pasand aaya ... ek geet jo gungunane man kiya ... aur flow bhi gazab ka raha ... bas wah hi wah ... dard hai par shikyat ... ya haal-e-dil... sitamgar bas uljhan maiN hi reh jayega ... bohat khoob

jo quote kiya bas behad pasand aaya ... yuN hi likhte raho apne jazbatoN ke sath ....

aapka bhai

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
27th June 2005, 03:25 PM

Soch mein hoon apne dil pe kaisee aah likh jaaon main
Bolo tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main

Gile, shikwe ya tohmatein, humse kuch tau silsila rakho
Chodho hum kahan duub rahein hain, tum tau kinara rakho
Haadse roz hua karte hain, kisko gavaah likh jaaon main

WaaaaaaaaaaH.. pehla sher qayamat aur doosra sher lajawaab...


Daur-e-ishq mein khokar humne, kya kya dekho kar daala
Sadiyon se pyaase honthon ko angaaron se bhar daala
Apni barbaadi ko bolo, *gard-e-raah likh jaaon main

Waaaaaaaahh.. apni barabaadiyon ko gard-e-raah likh jaaon.. Well said... !


Kabhi phaila jo baahon ko, khushi ka humne *ehteraam kiya
Badhkar *ehasaan-faramosh ghamon ne, hamko hai salaam kiya
Kismet mein likhi *ibaarat ko, kaise panaah likh jaaon main

Classic.. kya bata kahi hai guruji.. loved these lines 2...


Hamein dil se hai lena kya, tum hans kar saveraa kar lo
Dil humara hai ghar tumhara, jab tak chahe baseraa kar lo
Be-qadr tuute rishte ko ‘paras’, teri chaah likh jaaon main

Waaaaahh... Too good!

Dear Paras!

Ek baar fir se kucch hatakar magar baehad asardaar aur khoobsurat kalaam...Humesha ki hi tarah bahut expressive aur bahut flowing... just loved it....

Aise hi mehfilen saajati raho...Apna khayal rakho.. TC


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
HI!
Old
  (#4)
gumnam
Registered User
gumnam is on a distinguished road
 
gumnam's Avatar
 
Offline
Posts: 143
Join Date: Apr 2004
Location: Delhi
Rep Power: 21
HI! - 27th June 2005, 05:25 PM

HI Paras Ji!

Again a very touching and Zazbaton se bhari hui Rachna Likhne ke liye hamari Daad kubool kijiye......

But...
i could not understand some lines...

Gile, shikwe ya tohmatein, humse kuch tau silsila rakho
Chodho hum kahan duub rahein hain, tum tau kinara rakho

Yahan par words kuchh samajh nahin aaye...
Aur Lines ki Length bhi match nahi kar rahi hai???


And one thing more, The Length of shers is not the same throughout.....

Hope u won't mind as always.........


----Gumnam
Take care to get what you like,
Or you will be forced to like what you get.
  Send a message via Yahoo to gumnam  
Reply With Quote
Old
  (#5)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
28th June 2005, 09:42 AM

Pyaari si Guruji,

Arey, hum sab toh aapke kalaamo ke talabgaar rehte hai, toh phir....

Phir ek bilkul hi alag aur ehsaaso se bharpur pur asar kalaam jo ke bas dil ki gehraiyo mein bas jaata hai. Hmmm, abh koi kaise is mehfil mein aakar na dil haar jaaye???


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Re: Re: Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main...
Old
  (#6)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: Re: Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main... - 28th June 2005, 11:23 AM

Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Guddo didi

bohat hi sateek aur dil pe bhari padne wala ye kalaam mujhe behad pasand aaya ... ek geet jo gungunane man kiya ... aur flow bhi gazab ka raha ... bas wah hi wah ... dard hai par shikyat ... ya haal-e-dil... sitamgar bas uljhan maiN hi reh jayega ... bohat khoob

jo quote kiya bas behad pasand aaya ... yuN hi likhte raho apne jazbatoN ke sath ....

aapka bhai

kunal
sitamgar bas uljhan main hi reh jaayegaa....hain?

waah kunnu tumhare jawaab ka bhi jawaab nahin...loved it...khayal rakha karo tum apna...subah subah phone karke nahin poochte ki so rahe ho ya jage ho...

tumhare bachpan ke din gaye...shaadi ki tayyari karo...sudhar jaao...zara sa...zyada nahin

tumhari guddo didi


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
28th June 2005, 11:25 AM

kyun pulkit....

tumhein nahin lagta ki dard mein tairte tairte kuch zyadaa hi flow aagayi hai mere kalaamon mein? lol...tum padhte rehna main likhti rahoongi...

luv, paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
28th June 2005, 11:35 AM

gumnaam sahib...

bhaag hamare ki aap bazm mein laut aaye hain...ab hamari classes bhi shuroo kareinge...hai na? aap yadi kuch galati dekhein tau plz bejhijhak theek kar dijiey...apni suggestions ke saath...hamein bahut achha lagega...aur rahi iss sher kee baat...

Gile, shikwe ya tohmatein, humse kuch tau silsila rakho
Chodho hum kahan duub rahein hain, tum tau kinara rakho

iss se matlab yeh thaa...ki bhale pyaar se nahin milo...lekin duuri tau na rakho...aur duusri line mein jo kaha gaya hai..matlab us se ulat hai...ki hum tau aapki judai ke baad barbaad hee hain, aap ka duuriyan rakhna hi waajib(necessary) hai...sahi hai...bus isi khayaal se likha...

ummiid hai...ab sher pe kuch raushani padhi hogi...batayiega...

thanks for your comments


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
28th June 2005, 11:39 AM

Quote:
Originally posted by candyboy
Pyaari si Guruji,

Arey, hum sab toh aapke kalaamo ke talabgaar rehte hai, toh phir....

Phir ek bilkul hi alag aur ehsaaso se bharpur pur asar kalaam jo ke bas dil ki gehraiyo mein bas jaata hai. Hmmm, abh koi kaise is mehfil mein aakar na dil haar jaaye???
Sahi kaha Salim...

badi naa-shukri hai tumhari yeh guru...isko sahi raaste pe laana hee hoga...hai na? waise tohmat tumpe tau hargiz nahin lagaayi...main hee nahin mere kalaam bhi tumhare intezzar mein thhe...good to have you back...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main...
Old
  (#10)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
Re: Tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main... - 28th June 2005, 05:27 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
dosto...

aapki nawaazish ki talabgaar...

Soch mein hoon apne dil pe kaisee aah likh jaaon main
Bolo tumko qatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main

Gile, shikwe ya tohmatein, humse kuch tau silsila rakho
Chodho hum kahan duub rahein hain, tum tau kinara rakho
Haadse roz hua karte hain, kisko gavaah likh jaaon main

Daur-e-ishq mein khokar humne, kya kya dekho kar daala
Sadiyon se pyaase honthon ko angaaron se bhar daala
Apni barbaadi ko bolo, *gard-e-raah likh jaaon main

[color=dark brown]Dirt of the street[/color]

Kabhi phaila jo baahon ko, khushi ka humne *ehteraam kiya
Badhkar *ehasaan-faramosh ghamon ne, hamko hai salaam kiya
Kismet mein likhi *ibaarat ko, kaise panaah likh jaaon main

[color=dark brown]Regard, pay respect
Ungrateful
Wording[/color]


Hamein dil se hai lena kya, tum hans kar saveraa kar lo
Dil humara hai ghar tumhara, jab tak chahe baseraa kar lo
Be-qadr tuute rishte ko ‘paras’, teri chaah likh jaaon main

Bolo tumko qaatil likh doon, ya be-gunaah likh jaaon main

Paras Di...

bahoot achha likha hai.. so sweet aur sabse achhi baat mujhe saare words samajh aa gaye.. good for me.. aur itani achhi rachana ke liye meri dher saari daad le lo..


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mera Inaam Likh diyaa, (Tera Naam Likh Diyaa) Aashique Shayri-e-Dard 9 30th April 2012 06:02 PM
Tumhara Naam Likh Likh Kar Mitana Bhul Jati Hun,,, anjali_sharma Shayri-e-Dard 10 11th May 2010 12:30 PM
apnee nzmon main akhir likh diya tujh ko masoomshayer Shayri-e-Dard 11 22nd April 2006 08:56 PM
kaanpte haathon yeh khat likh to diya hai main ne asgher Aapki Shayri 0 30th May 2005 10:15 AM
Kaise Tumko Bhula Doon salman shaikh Shayri-e-Dard 12 23rd June 2002 08:45 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com