Shayari---Tanhai -
24th May 2005, 12:03 PM
"Na ujalaye sahar main zindagi .Na shamo main visale gham
Lasho ka shahar hai yeh..Na koi rooh khush.. na koi aankh purnam"
"Isi shoro haibat main gum ho jaega 'Faraz'
Na hayat teri qabile tawajjo. na wafat kheech kar layegi sanam"
---------------------------------------------------------------------------------
"Yeh jo kabhi sharam saaz, yeh jo kabhi khud se maghroor
Mana ke hai jism main qaid ..pur kyon samajh se itni door"
-----------------------------------------------------------------------------------
*
"Koi gham nahi ke mujhko gar tawajjo na de yeh zamana
Par kabhi is mareeze dil ka haal poochne aao to jana
Hum woh ke tere chehere main mohabbat karein talash
Gar tu nazar churae to kusoor tera jaana
Mana ke apne dil main banane na doge aashna
Mehman hi bana kar kabhi bulao to jaana"
------------------------------------------------------------------------------------
Fursato main ulajhna ..hasrato se ghabrana
tajjub kya ki humse na mukhatib hai yeh zamana
Tanhaiyon main ro kar mehfilo ko hasana
Ab yaqeen ho chala Faraz hone laga deewana
|