Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
zaalim
Old
  (#1)
sagar29in
Mashahoor Shayar
sagar29in is a jewel in the roughsagar29in is a jewel in the roughsagar29in is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 289
Join Date: May 2001
Location: panvel
Rep Power: 25
zaalim - 10th July 2002, 01:04 PM

zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhi bahut thii
majabuur them ham un se muhabbat bhi bahut thii

us but ke sitam seh ke dikhaa hi diya hamne
yuun apni tabiyat mein bagavat bhi bahut thii

vaaqif hi na thaa rasm-e-muhabbat se vo varna
dil ke liye thodi si inaayat bhi bahut thii

yuun hi nahi mashahuur-e-zamanaa mera qaatil
us shaqs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thii

kyaa daur-e-gazal thaa ke lahuu dil mein bahut thaa
aur dil ko lahuu karne kii fursat bhi bahut thii

har shaam sunate the hasinon ko gazal ham
jab maal bahut thaa to sakhavat bhi bahut thii

bulavaa ke ham 'aziiz' ko pashemaan bhi bahut hain
kya kijiye kambakht kii shohrat bhi bahut thii


wo mere dil ko kuchal ke chala gaya
anjane me muzko wo shayar bana gaya
  Send a message via Yahoo to sagar29in  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Uday
Registered User
Uday is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 72
Join Date: Jul 2001
Rep Power: 23
Thumbs up 18th August 2002, 03:05 PM

kya baat hai sagar saab!waa!subhanalla!!
maza aa gaya!!


jai bharat
   
Reply With Quote
Bahut Aachhe saahab
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Bahut Aachhe saahab - 21st August 2002, 10:57 AM

Waah Sagar sahab,

aapki ye ghazal waqai bahut achhi hai, yooNhi likhte rahiye.



Regards

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Uday
Registered User
Uday is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 72
Join Date: Jul 2001
Rep Power: 23
Thumbs up 4th September 2002, 08:59 PM

waah sagar saab!
aap to ustad hai shayri kay!
kya khoob likhga hai!
aapki agli rachna ka intezaar rahegaa!


jai bharat
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
27th September 2002, 05:49 AM

sagar sahab.....

mazrat chahta huuN lekin janaab "kaleem ajiz" sahab ki iss ghazal ke do ashaar aur haiN...aapki ijaazat ke saath maiN pesh kar raha huuN

ghazal ka matla yuuN hai

har chaNd gham-o-dard ki keemat bhi bahut thi
lena hi padaa humko zaroorat bhi bahut thi

go tarq-e-taa'lluQ meiN sahuulat bhi bahut thi
lekin na huaa humse ke Ghairat bhi bahut thi


aadaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
zaalim neel_jyothi Shayri-e-Sharaab 1 30th September 2008 05:43 PM
Zaalim zamana NM kishor Shayri-e-Dard 0 21st April 2007 09:35 PM
Tu Bhi Zaalim Jag Sa Hai ehthishamulhaq Shayri-e-Dard 0 23rd November 2006 09:15 PM
hak mohhabbat ka zaalim night_walker13 Shayri-e-Dard 1 21st September 2006 08:17 PM
zaalim zamana RICKY_DIL_SE Anjuman-e-Shayri 0 21st January 2002 11:44 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com