Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Chit-Chat & General Discussion Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Old
  (#1)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
12th July 2010, 10:31 PM

Quote:
Originally Posted by secret admirer View Post
katil ji.........waise baat to aapki sahi hai k Bhagya aur karm dono he jeevan chakr ko suchaaru roop se chalane k liye nityAnt aavshyak hain....

apne kaha k aap bhagya par jara jayada hi vishwas karte hain aur har karm ko karte waqt ye dhyaan rakhte hain k jo bhi apke sath ghatit ho raha hai wo apke purva uparjit kaRmo ka parinam hai....

is vishyas par mera manNa hai k apki soch bahut asha wadi hai...

haan main bhi apki soch se ek rai rakhta hoon parantu sirf un halat par jahan hamara samna prakarti se hota hai jaise ek udahran main bhi deta hoon apko..........

ek gaon mein ek gareeb kisaan tha usne bahut mehnat karke bahut hi acchi fasal ugai.....tabhi wahan par ek sadhu mahatma aaye aur unhone usse kaha k wah tum to bade hi bhagyashali ho jo itni acchi fasal tumhare khet mein ugi hai...is baat par wo kisan bhadak gaya aur kahne laga .....k bhagya kahan se bich mein aa gaya ye to meri apni mehnat hai aur usne us sadhu ko wahan se bhaga diya....sadhu wahan se nikal kar dusre gaun chala gaya....us raat bahut jor ki andhi toofan aaya ....sadhu agle din usi kisaan k khet k paas se wapas gujar raha tha usne dekha k kisan ro raha hai sadhu ne pucha kya hua... to usne kaha k bhagya ka khel to dekho meri sari fasal kal ke toofan me barbaad ho gayi....is par sadhu ne kaha k jab main tumse kal bhagya ko lekar kuch kah raha tha to tum mujh par bigad rahe the aur aaj khud bhagya ko kos rahe ho......

in halatoN mein jahan hame nahi pata k kiske karmo se hame ye acche ya bure phal mile hain wahan main bhi bhagya k naam se use pukarta hoon...
secret ji ek baar fir se aapne bahut he sundar udaahran pesh kiya hai

Waise aapko ek baat apne baare me batana chahta hu ki mai us kisaan ki tarah nahi jo achhe ko apni mehnat ka phal aur bure ko bhagya ka phal kahta hu...

Sirr ji maine jo 10th claas ka experience gazal ji ko bataya shayadd wo aapki nazro se chook gaya

aur sirr ji... Poorv upaarjit karmo se matlab sirf pichle janm me kiye gaye karm nahi varan is janm me kiye gaye karm bhi hote hain... Jaisa ki aapki 'dhanaulti' waali baat se spasht hai

Bhaagya mere according karm se zyada balwaan hai...

Iska ek udaahrann aapne swayam diya hai 'kisaan' wala.... Karm to kisaan ne poora kiya... lekin uska durbhagya uske karm se oopar ho gaya aur natija aapke sammukh hai...

Isi tarah se ek aalsi kisaan tha...
Wo kuch nahi karta tha... Uska khet kaafi dino se banjar tha... Gaao me sab usko nithalla aur aalsi kehkar bulate aur uski beizzati karte... Ek din gaao me ek govt. Ka group aaya aur gaao me usi kisaan ki dharti k neeche tail ( crude oil ) hone ki baat kahi...
Bass... Fir kya tha... Wo kisaan baithe bithaaye gaao ka sabse ameer aadmi ho gaya ...




Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com