Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
harek raah kee manjil hamara ghar nikla
Old
  (#1)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
harek raah kee manjil hamara ghar nikla - 27th February 2008, 01:27 PM

Hi Friends
Aaj aapke saamne kuchh pesh kar raha hun koshish yahi hai kee apko pasand aaye ..

Tinka Tinka jo hamne aahiyan banaya tha
Usko haathon se khud apne hee jalaya tha

harek raah kee manjil hamara ghar nikla
gamon ko jaane kisne rasta dikhaya tha

Dil ke aaine kee dhundhli see ek tasveer hun main
Tera chahra bhi kuchh der najar aaya tha

Dil kee awaargi rishton ko na pahchan saki
Apna kahte the jinhe dhokha unhi se khaya tha

Hazaar gam ke bahane bana ke chhod gaya
Jo kushi ban ke meri jindgi main aaya tha

Ek arse se jindgi meri talash main hai
Tumhari galiyon main main khud ko chhod aaya tha

Har ek pal koi ahsaan kar gaya mujh par
Ye waqt teri kuchh yaaden samet laya tha

In tej lahron ko anish gujar jaane do
Yanhi kahin pe ek sailab kabhi aaya tha


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kuhulika
Registered User
kuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant future
 
kuhulika's Avatar
 
Offline
Posts: 2,269
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 37
27th February 2008, 01:32 PM

Quote:
Originally Posted by anish_ekshayar View Post
Hi Friends
Aaj aapke saamne kuchh pesh kar raha hun koshish yahi hai kee apko pasand aaye ..

Tinka Tinka jo hamne aahiyan banaya tha
Usko haathon se khud apne hee jalaya tha

harek raah kee manjil hamara ghar nikla
gamon ko jaane kisne rasta dikhaya tha

Dil ke aaine kee dhundhli see ek tasveer hun main
Tera chahra bhi kuchh der najar aaya tha

Dil kee awaargi rishton ko na pahchan saki
Apna kahte the jinhe dhokha unhi se khaya tha

Hazaar gam ke bahane bana ke chhod gaya
Jo kushi ban ke meri jindgi main aaya tha

Ek arse se jindgi meri talash main hai
Tumhari galiyon main main khud ko chhod aaya tha

Har ek pal koi ahsaan kar gaya mujh par
Ye waqt teri kuchh yaaden samet laya tha

In tej lahron ko anish gujar jaane do
Yanhi kahin pe ek sailab kabhi aaya tha





hello Anish ji
aaj aate hi apka likkha hua padhne ko mila...accha laga padhkar
aap ne har baar ki tarah yeh bhi dil ko touch karta hua likkha hai....saare sher aise lag rahe haijaise meri hi kahani ho... or kya tareef karun... bas itna hi ki aise hi likhte rahiyega



taek caer


SHWETA


jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
27th February 2008, 01:42 PM

hi shweta
aaj to gajal post karte hee aapka reply shayad meri is rachna ko apna inaam mil gaya iske jajbaaton ko juban mil gayi hai aapka meri post par aana mujhe hamesha achha lagta hai apki hosla afjai ke liye shukriya

khush rahiye


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Manjil silent-tears Shayri-e-Dard 0 2nd March 2008 09:11 PM
mera astitva nyuchaawar.. harek muskaate chehare par garima Shayri-e-Dard 24 10th January 2006 10:47 AM
tumhara ghar hamara ghar... ashiq awara, Aapki Shayri 2 26th December 2005 02:26 PM
Jo Raah Chuni Tune, Usi Raah Pe Raahi Chalte Jaana Re manoj kureel Hindi/Urdu Lyrics 1 21st September 2004 01:43 PM
Nai manjil dard_a Shayri-e-Dard 0 4th May 2003 05:48 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com