Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
MERI ZINDAGAANI AZAAb HAI.
Old
  (#1)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
MERI ZINDAGAANI AZAAb HAI. - 24th August 2014, 11:38 PM

Mere saath- saath Jo tuu nahii'n meri zindagaanii azaab* hai.
Meri raat Ka tuu chiraagh hai ,meri subah kaa tuu gulaab hai.

Tune waise aye mere chaaraagar* meri umr-e-sozaa* badhaa to dii,
Kabhi fursato'n me'n tuu sochanaa ye ilaaj hai ki ataab* hai.

Tujhe naaz hai teri tegh* par , mujhe fakhr hai meri aah par
Merii zindagii jahaa'n khatm hai ,Teri zindagii bhii kharaab hai.

Meri aa'nkh me'n Tere aa'nsuuo ko likhaa gayaa thaa bahisht* me'n,
Ye jugo -jugo kii hai'n nisbate'n* , ye janam-janam kaa hisaab hai.

Yahii ek rabt* Sadaa-sadaa , Tere mere biich banaa rahaa,
Mai'n sawaal thaa main sawaal huu , tuu jawaab thaa tuu jawaab hai.

Tujhe khudNumaaii Ka shauq hai , mujhe jagha'nsaaii Ka khauf hai,
Mai'n varaq* huu jiskaa phataa huya, tuu khulii huyii wo kitaab hai.

Kahii'n kuch badal gayaa kuch nahii'n, kahii'n kuch sudhar gayaa kuch nahii'n,
Wahii Sab to pahle saa hai ufaq , wahii chashm* hai wahii aab* hai.

#################################

Azaab = torment
Chaaraagar = doctor
Umr-e-soza = life full of sufferings
Ataab = harassment
Tegh = sword
Bahisht = heaven
Nisbate'n = relationships
Varaq = page
Chashm = eye
Aab = water
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
25th August 2014, 11:47 AM

kamaal ki ghazal kah di saahhab bas kamaal hi kamaal..... ummda kareegaree ka namuunaa hai ye ghazal..... subhaan Allaah....... tafseel me bhi aaunga jald hi..... filhaal mubaarakbaad meri jaanib se qubool farmaaiye.....


Teraa lafz lafz firozaa haiN, tera sher sher khitaab hai...
Jo dhuwaaN dhuwaaN sa hai utha raha, koi jal rahaa ahbaab hai....


Waaahhh.. muddat ke baad koi shaayrii koi fankaaree dekhii hain yahaan.... behad shukriyaa aapka ise hamaare saath baantne ke liye.....

Shaad......


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
25th August 2014, 11:51 AM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Mere saath- saath Jo tuu nahii'n meri zindagaanii azaab* hai.
Meri raat Ka tuu chiraagh hai ,meri subah kaa tuu gulaab hai.

Tune waise aye mere chaaraagar* meri umr-e-sozaa* badhaa to dii,
Kabhi fursato'n me'n tuu sochanaa ye ilaaj hai ki ataab* hai.

Tujhe naaz hai teri tegh* par , mujhe fakhr hai meri aah par
Merii zindagii jahaa'n khatm hai ,Teri zindagii bhii kharaab hai.

Meri aa'nkh me'n Tere aa'nsuuo ko likhaa gayaa thaa bahisht* me'n,
Ye jugo -jugo kii hai'n nisbate'n* , ye janam-janam kaa hisaab hai.

Yahii ek rabt* Sadaa-sadaa , Tere mere biich banaa rahaa,
Mai'n sawaal thaa main sawaal huu , tuu jawaab thaa tuu jawaab hai.

Tujhe khudNumaaii Ka shauq hai , mujhe jagha'nsaaii Ka khauf hai,
Mai'n varaq* huu jiskaa phataa huya, tuu khulii huyii wo kitaab hai.

Kahii'n kuch badal gayaa kuch nahii'n, kahii'n kuch sudhar gayaa kuch nahii'n,
Wahii Sab to pahle saa hai ufaq , wahii chashm* hai wahii aab* hai.

#################################

Azaab = torment
Chaaraagar = doctor
Umr-e-soza = life full of sufferings
Ataab = harassment
Tegh = sword
Bahisht = heaven
Nisbate'n = relationships
Varaq = page
Chashm = eye
Aab = water


Ufaq ji........no words...simply superb !!

reps added +++


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
25th August 2014, 12:37 PM

waaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhh!!!!!!
ufaqsaab,
kya ghazal pesh kii hai..... laajavaab, behtarin, kamaal kii kaarigarii hai, janaab.

bahot khub... dheroN daad hamaari jaanibse....



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
25th August 2014, 04:37 PM

Behad umda kalaam...

..Touching

AS ALWAYS..............




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 25th August 2014, 08:36 PM

behad khoobsoorat rachna ufaq bhai
dili daad
radhe radhe


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
25th August 2014, 09:08 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Behad umda kalaam...

..Touching

AS ALWAYS..............
Yu to qaaida ye banta hai....jisne pahle comment diya ho....uska shukria pahle adaa kiya jaaye...lekin aapne meri ghazal Ke sher ko apna signature banaakar jis ehtraam se nawaaza hai...usne mujhe majboor kare diya ki main fauran se peshtar haazir hokar shukria adaa karu.........

Thanx for quoting my sher as ur signature....its the best compliment i have ever recieved
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
25th August 2014, 09:40 PM

Ufaq bhai ... ye ghazal aisi hai ki kisi bhi mushaayare ko loot le, kisi bhi kitaab ki zeenat ho jaaye, kisi bhi mehfil ki raunak ban jaaye aur kisi bhi dil mein jagah kar le !!!


Aap ko shayari ki technical knowledge bahaut hai, to ye bataaiye ki kya aisa koyee provision naheen hai ki kisi ghazal ke har ek sher ko bait-ul-ghazal kaha ja sake ? Agar naheen hai, to is ghazal ke liye aisa provision banaana padega.


Ye ghazal daad-o-tehseen ke kaheen aage nikal gayee hai, phir bhi jitni daad jama kar sakta hoon, saari ki saari aap ko deta hoon.


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
26th August 2014, 02:47 AM

Aadaab Ufaq SaHb

sab se pehly to aik nihayat umdah kalaam per mer daad qabool fermaaieN
kiyoN keh yahaN hum sab seekhny aaye haiN to kiyoN na apny ilm meN izaafa ke liye kuch sawaal appse pooch liye jaa jaaieN , takeh is nacheez talib e i'lm ko kuch seekhny ko mil jaaey

ufaq bhaii mere kisi bhee sawaal ko tanqeed mat samjhiye ga yeh meHz meN apne e'lm mai izaafa ke liye pooch rahaa hoN .

gustaakhee ke liyee muazrat khuwaa hoN

Quote:
Mere saath- saath Jo tuu nahii'n meri zindagaanii azaab* hai.
Meri raat Ka tuu chiraagh hai ,meri subah kaa tuu gulaab hai.
bahut hi umdah she'r hai

appne yahaN subH ko subah likhaa hai lakin wazn mai shayad 21 liyaa hai to iski adaagii subH kee ho gee ? ya phir subaH ki hogee ?

raat ka chiraagh , nihayat umdah , lakin subH ka ghulaab se kiya muraad hai appka ?


Quote:
Tune waise aye mere chaaraagar* meri umr-e-sozaa* badhaa to dii,
Kabhi fursato'n me'n tuu sochanaa ye ilaaj hai ki ataab* hai.
kiyaa kehny ...wah wah ! kamaal ker diyaa moHteram . yeh fursatoN ki maar ... ahh kamaal hai

Quote:
Tujhe naaz hai teri tegh* par , mujhe fakhr hai meri aah par
Merii zindagii jahaa'n khatm hai ,Teri zindagii bhii kharaab hai.
lajawaab ....


Quote:
Meri aa'nkh me'n Tere aa'nsuuo ko likhaa gayaa thaa bahisht* me'n,
Ye jugo -jugo kii hai'n nisbate'n* , ye janam-janam kaa hisaab hai.
aankh mai ansoo ko bahist mai likhaa gayaa tha ? appka matlab hai arsh per ?


Quote:
Yahii ek rabt* Sadaa-sadaa , Tere mere biich banaa rahaa,
Mai'n sawaal thaa main sawaal huu , tuu jawaab thaa tuu jawaab hai.
arre wahh , kamaal hai ! dhair saarii daad qabool fermaaieN

Quote:
Tujhe khudNumaaii Ka shauq hai , mujhe jagha'nsaaii Ka khauf hai,
Mai'n varaq* huu jiskaa phataa huya, tuu khulii huyii wo kitaab hai.
urdu ka lafz hai warq jo arbee zubaan se liyaa gayaa hai , app ne yahaN waraq istemaal kiyaa hai aur yaqeenan uska wazn bhee appne waraq ke Hisaab se liyaa hai shayad . aur yeh baat bhee dekhny ko aai hai keh bahut se shu'raa bhee waraq istemaal kerty haiN , iskee kiya wajeh hai ? kiyaa adabee dunyaa mai iskee ijaazat hai ?

jaisy subH ko zyada tar log subaH kehty haiN .


Quote:
Kahii'n kuch badal gayaa kuch nahii'n, kahii'n kuch sudhar gayaa kuch nahii'n,
Wahii Sab to pahle saa hai ufaq , wahii chashm* hai wahii aab* hai.
pehly sawaal phir jawaab , phir sawaal phir jawab , aur uske baad apnee kaifiat bayaan kerna

moHteram chaa gaey app , jaisy zaraa saHb ne fermaaya keh is ghazal se meHfil looT sakty haiN app

dhair saari daad qabool fermaaieN

zor e qalam aur ziyaadah
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#10)
Ashwani Tyagi
Registered User
Ashwani Tyagi is a glorious beacon of lightAshwani Tyagi is a glorious beacon of lightAshwani Tyagi is a glorious beacon of lightAshwani Tyagi is a glorious beacon of lightAshwani Tyagi is a glorious beacon of light
 
Ashwani Tyagi's Avatar
 
Offline
Posts: 222
Join Date: Nov 2013
Location: Noida
Rep Power: 15
26th August 2014, 09:31 AM

Bahut he behtreen or aala pesh kash tahe Dil se daad kabool farmaye ufaq sahab


Regards,
Ashwani Tyagi

akela hun magar abaad karleta hun 'veeranay'
  Send a message via Skype™ to Ashwani Tyagi 
Reply With Quote
Old
  (#11)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
26th August 2014, 10:30 AM

ufaq jee kamaal kee ghazal hai aapki....ek ek sher dil me ghar karta hua.......



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#12)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
26th August 2014, 10:26 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post
Aadaab Ufaq SaHb

aadaab

sab se pehly to aik nihayat umdah kalaam per mer daad qabool fermaaieN

qabool hai.
kiyoN keh yahaN hum sab seekhny aaye haiN to kiyoN na apny ilm meN izaafa ke liye kuch sawaal appse pooch liye jaa jaaieN , takeh is nacheez talib e i'lm ko kuch seekhny ko mil jaaey

qaash aapke jaisii tishnagi e ilm sab me jaag jaaye...sukhan Ka kitna bhala hoga

ufaq bhaii mere kisi bhee sawaal ko tanqeed mat samjhiye ga yeh meHz meN apne e'lm mai izaafa ke liye pooch rahaa hoN .

bhai ..tanqiid bhi koi burii cheez nahi hoti...waise aapka hukm sar-maathe

gustaakhee ke liyee muazrat khuwaa hoN

khwaamkhwaah...muzrat kid baat ki????



bahut hi umdah she'r hai

shukria

appne yahaN subH ko subah likhaa hai lakin wazn mai shayad 21 liyaa hai to iski adaagii subH kee ho gee ? ya phir subaH ki hogee ?

bhai iqraar karta hu...bekhyaali me...subH ko subah likh diya ...aur subH ki takhti 21 hi hoti hai

raat ka chiraagh , nihayat umdah , lakin subH ka ghulaab se kiya muraad hai appka ?

bhai....gulaab se MATLAB phoolo.n se hai.....ab phool to subH hi khilte hai...gulaab bhi phool ki ek qism hai....gulaab Ka istemaal karna ..qaafiabandi hai...zaroorat e Sheri hai


kiyaa kehny ...wah wah ! kamaal ker diyaa moHteram . yeh fursatoN ki maar ... ahh kamaal hai

nawaazish



lajawaab ....

karamnawazi




aankh mai ansoo ko bahist mai likhaa gayaa tha ? appka matlab hai arsh per ?

Ji bhai...bahisht se MATLAB arsh se hai.....bharti Ke lafz se bachne Ke liye...bahisht Ka istemaal kiya gayaa hai




arre wahh , kamaal hai ! dhair saarii daad qabool fermaaieN

shukria



urdu ka lafz hai warq jo arbee zubaan se liyaa gayaa hai , app ne yahaN waraq istemaal kiyaa hai aur yaqeenan uska wazn bhee appne waraq ke Hisaab se liyaa hai shayad . aur yeh baat bhee dekhny ko aai hai keh bahut se shu'raa bhee waraq istemaal kerty haiN , iskee kiya wajeh hai ? kiyaa adabee dunyaa mai iskee ijaazat hai ?

jaisy subH ko zyada tar log subaH kehty haiN .

bhai....adab me do tarah Ke ghalat alfaaz hai......(1) ghalat ul awaam....in alfaaz Ke istemaal par sakht paabandi hai..maslan subH ko subah likhna ghalt ul awaam hai..aur adab me naqaabil e bardaasht hai

(2) ghalat ul aam...WO alfaaz Jo apni ghalat shakl me hi mashoor ho gaye hai..jaise ..warq se waraq....tarH se tarah ....shaair se shayar...ye alfaaz dono shakl me tasleem kiye jaate hai....





pehly sawaal phir jawaab , phir sawaal phir jawab , aur uske baad apnee kaifiat bayaan kerna

kamaal hai....aapki paarkhi nazar ...aapne sher ko bilkul theek jagah se pakda hai

moHteram chaa gaey app , jaisy zaraa saHb ne fermaaya keh is ghazal se meHfil looT sakty haiN app

bhai...mahfil e SDC lootni nahi hai...duaa to ye hai...ye mahfil yu hi bani rahe..

dhair saari daad qabool fermaaieN

zor e qalam aur ziyaadah
itni saari baate.n karne Ke liye shukria ..mere bhai.....khush raho.....
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
8th September 2014, 11:02 PM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Mere saath- saath Jo tuu nahii'n meri zindagaanii azaab* hai.

Meri raat Ka tuu chiraagh hai ,meri subah kaa tuu gulaab hai.

Tune waise aye mere chaaraagar* meri umr-e-sozaa* badhaa to dii,
Kabhi fursato'n me'n tuu sochanaa ye ilaaj hai ki ataab* hai.

Tujhe naaz hai teri tegh* par , mujhe fakhr hai meri aah par
Merii zindagii jahaa'n khatm hai ,Teri zindagii bhii kharaab hai.

Meri aa'nkh me'n Tere aa'nsuuo ko likhaa gayaa thaa bahisht* me'n,
Ye jugo -jugo kii hai'n nisbate'n* , ye janam-janam kaa hisaab hai.

Yahii ek rabt* Sadaa-sadaa , Tere mere biich banaa rahaa,
Mai'n sawaal thaa main sawaal huu , tuu jawaab thaa tuu jawaab hai.

Tujhe khudNumaaii Ka shauq hai , mujhe jagha'nsaaii Ka khauf hai,
Mai'n varaq* huu jiskaa phataa huya, tuu khulii huyii wo kitaab hai.

Kahii'n kuch badal gayaa kuch nahii'n, kahii'n kuch sudhar gayaa kuch nahii'n,
Wahii Sab to pahle saa hai ufaq , wahii chashm* hai wahii aab* hai.

#################################

Azaab = torment
Chaaraagar = doctor
Umr-e-soza = life full of sufferings
Ataab = harassment
Tegh = sword
Bahisht = heaven
Nisbate'n = relationships
Varaq = page
Chashm = eye

Aab = water
Aadaab Ufaq bhaee,

Sub'hanAllah!

Alfaaz ki bayhad kamee mahsoos ho rahee haye aapke is kalaam ko parh! Buhat aala takhayyul wa taghazzul! Aapkay is kalaam ki tarz say Bahadur Shah Zafar ki Nazm ki kaafee qawee mahak aa rahee haye... aapki tazmeen nay iskaa poora haq adaa kiyaa!! Khaaksaar ki jaab say bayshumaar daad qabool farmaayayn! Aapko pichlay kuch waqfay say nahee paaya bazm mayn, ommeed haye aap khayr wa aafiyat say ho , dua haye rab say..ho zor e qalm aur bhee zyaada!!


Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com