Khoob surat hain tumhari aankhen -
31st May 2021, 05:37 PM
Ghazal
Khoob surat hain tumhari aankhen
Dil ki chahat hain tumhari aankhen l
Jheel ke jaisi hain gehri neeli
Meri hasrat hain tumhari aankhen l
Dekh kar log ho te hain pagal
Kya qayamat hain tumhari aankhen l
Chehra masoom tumhara hai bohut
Is pe zeenat hain tumhari aankhen l
Eh nashili hain bohut mey ki tarah
Jame ulfat hain tumhari aankhen l
Is pe parwaaz ko hai fakhr bohut
Besh qimat hain tumhari aankhen l
By Mujeeb Parwaaz
Last edited by mujib66; 31st May 2021 at 05:40 PM..
|