Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Hasrat
Old
  (#1)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Hasrat - 4th December 2014, 09:28 PM

Farzi ek lakeer se, Bharat-o-Pakistan bane
Baa-hum thae jo bhai, Hindu-o-Musalman bane

Neem august ka woh toofaN sab kuch udaa ke legaya
Lehlahate bagheeche shamshaan-o-qabrestan bane

Royi thi woh maaN do bachchoN ko ladte dekh
InsaaN ke he dushman, kab yeh insaan bane

Mazhab ko jo becha hum ne zaalimoN ke haath
Aman ke pujari ab toh nafrat ke ghulam bane

Shams-o-qamar ne imtiyaaz kiya nahi kabhi
Badal aur parindey bhi itihaad ka paigham bane

Kar li hai taraqui humne har su be-shumaar
Nahi magar huye hum-ahang, khatroN se anjan bane

Muntizar huN 'AASHNA' ke bhar jayenge sab zakham
Hasrat hai ke phir yeh purana hansta sa guldaan bane

SAGAR AASHNA


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
4th December 2014, 10:32 PM

Sagar saaheb

Namaste

Aik achchhi koshish aur aik achchhi soch ke liye dil se daad...aage bhi apni koshishon ke zariye bazm kii shaan badhaate rahiye...

Dil se daad...khush rahiye....apnaa khayaal rakhen

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
4th December 2014, 10:41 PM

Namaste Dhaval Ji.
Bahot bahot shukriya hausla afzayi keliye.
Yunhi rehbari karte rahiyega.
Mujhe aap jaise rehbaroN se bahot kuchh seekhne ki tamanna hai.
Ek baar phir se tahe dil se shukriya.

SAGAR AASHNA


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
5th December 2014, 12:30 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Farzi ek lakeer se, Bharat-o-Pakistan bane
Baa-hum thae jo bhai, Hindu-o-Musalman bane

Neem august ka woh toofaN sab kuch udaa ke legaya
Lehlahate bagheeche shamshaan-o-qabrestan bane

Royi thi woh maaN do bachchoN ko ladte dekh
InsaaN ke he dushman, kab yeh insaan bane

Mazhab ko jo becha hum ne zaalimoN ke haath
Aman ke pujari ab toh nafrat ke ghulam bane

Shams-o-qamar ne imtiyaaz kiya nahi kabhi
Badal aur parindey bhi itihaad ka paigham bane

Kar li hai taraqui humne har su be-shumaar
Nahi magar huye hum-ahang, khatroN se anjan bane

Muntizar huN 'AASHNA' ke bhar jayenge sab zakham
Hasrat hai ke phir yeh purana hansta sa guldaan bane

SAGAR AASHNA
Sagar sahab,

Kya kahun aapke is khayaal ne aankhen nam kar di...Bahut umdaa ghazal kahi hai aapne aur aise hunar ko nacheez ka salaam....pur asar

Yeh sach hai bhai ki do mulqon ki is ladaai mein jeeta koi bhi nahiN hai par afsoos ki baat hai ki taab-o-taaj ke shauqeen hameshaa aisi rudaad ko dar kinaar karte aaye the aur karte rahegaa..

aapka maqtaa jin din ka saveraa dekhe aisi subaah ke liye aakhen muntazir hai...

Maine bhi kuch waqt pehle aise hi jazbe kalamband kiye the aapki nazar

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=56115

Yunhi likhte rahiYeGaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th December 2014, 11:51 AM

Masha Allaah saagar saahab... kya kkhoob peshkash huii hai aapki jaanib se....

dil bhar aaya meraa aur sach kahun to bbahot afsos hota hai ye sab dekh kar..... kaash ke ham sab aapas me ye nafrat bhulaakar bhaichaare se ye zindageee jiyen... sab khush rahen aabad rahen yahi duaa nikaltii hai mere dil se......

likhte rahen


PS- mast bhai aapke kalaam par wahi comment dene ja raha hoon...... dil jeet liyaa aapne bhi saahab.....

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
5th December 2014, 12:04 PM

Bahot bahot shukriya Mast Saahab hausla afzayi keliye.
Bahot takleef hoti hai dekh kar jab insaaniyat bhool kar log khoon bahate hain.
Aur chand anaasar khushgawar mahaul ko maatam mein tabdeel kar dete hain.
Agar zindagi de nahi sakte to lene ka haq humein harghiz nahi hai.
Bahot khoon baha hai inn sarhadoN ke naam par.

Lekin mujhe ummeed he nahi, bharosa hai ke ek din insaaniyat jeetegi aur hum sab sirf insaan kehlaayenge, na ke hindu, musalmaan, sikh, issayi, yahudi ya koi aur.
Agar lahoo ka rang ek hai, toh phir itna fitna kis baat par.

Aur aapki rachna padh kar kya batauN kya guzri hai. Kamaal ka likha hai aapne.
Mere paas ilfaaz nahi bayaan karne keliye. Ek ek misra chilla chilla kar insaaniyat ki duhaayi deta hai, aur khoon ki siyaasat karne waloN ke muh par jaise tamaacha hai.

"Kaun hindu kya musalmaa' hota hai
mazhab se qabl to har koi insaan hota hai"..... kya khoob kaha hai.
Aise he umdaa khayalaat se rubaroo karte rahiyega.

Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
5th December 2014, 12:09 PM

Shaad saahab mashkoor huN ke aapne iss nacheez ko itni daad ke qabil samjha.
Shaayad shora hazraat ke qalam ki taaqat bhi apna hunar dikhaye aur waqt musbat karwat le.
Issi dua ke saath ijaazat leta huN.

Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
5th December 2014, 02:00 PM

Sagar Bhai ,

Kya jazbaat aur jazba mila desh prem ka apki is ghazal meiN ...

Aur ye dua tau bahut hi nayab lagi mujhe apki,,,
Hasrat hai ke phir yeh purana hansta sa guldaan bane

Yun hi likhte rahiye , aap ko par ke achcha laga mujhe .

Sanjay sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
6th December 2014, 01:06 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Farzi ek lakeer se, Bharat-o-Pakistan bane
Baa-hum thae jo bhai, Hindu-o-Musalman bane

Neem august ka woh toofaN sab kuch udaa ke legaya
Lehlahate bagheeche shamshaan-o-qabrestan bane

Royi thi woh maaN do bachchoN ko ladte dekh
InsaaN ke he dushman, kab yeh insaan bane

Mazhab ko jo becha hum ne zaalimoN ke haath
Aman ke pujari ab toh nafrat ke ghulam bane

Shams-o-qamar ne imtiyaaz kiya nahi kabhi
Badal aur parindey bhi itihaad ka paigham bane

Kar li hai taraqui humne har su be-shumaar
Nahi magar huye hum-ahang, khatroN se anjan bane

Muntizar huN 'AASHNA' ke bhar jayenge sab zakham
Hasrat hai ke phir yeh purana hansta sa guldaan bane

SAGAR AASHNA

Behtareen gazal...aur bahut umda khyaal k liye dil se daad sagar ji...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
6th December 2014, 04:44 PM

Bahot bahot shukriya Hamdam Saahab aur Madhu Ji, aapki daad mere liye bahot maayine rakhti hai.
Ek baar phir se tahe dil se shukriya.

Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
23rd December 2016, 04:48 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Farzi ek lakeer se, Bharat-o-Pakistan bane
Baa-hum thae jo bhai, Hindu-o-Musalman bane

Neem august ka woh toofaN sab kuch udaa ke legaya
Lehlahate bagheeche shamshaan-o-qabrestan bane

Royi thi woh maaN do bachchoN ko ladte dekh
InsaaN ke he dushman, kab yeh insaan bane

Mazhab ko jo becha hum ne zaalimoN ke haath
Aman ke pujari ab toh nafrat ke ghulam bane

Shams-o-qamar ne imtiyaaz kiya nahi kabhi
Badal aur parindey bhi itihaad ka paigham bane

Kar li hai taraqui humne har su be-shumaar
Nahi magar huye hum-ahang, khatroN se anjan bane

Muntizar huN 'AASHNA' ke bhar jayenge sab zakham
Hasrat hai ke phir yeh purana hansta sa guldaan bane

SAGAR AASHNA


Bhai...bahut hi nazuk ehsaas....desh ka batwara bahut badi bad-kismati thi dono deshoN ke liye...!

Neem august ka woh toofaN sab kuch udaa ke legaya
Lehlahate bagheeche shamshaan-o-qabrestan bane

dil ke khaas kareeb rha yeh ehsaas.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
25th December 2016, 09:11 AM

Sagar sahab kya khoob kalaam pesh kiya hai aapne

Taqseem-e-hind ka karb zaahir hai bar-e-sagheer ke logo ke dil mai ta-qayaamat tak rahega

Bohat gehraayi se aapne alfaaz ko kalaam-band kiya hai

Khaaksaar ki daad qubool farmaiye


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com