Intezaare-e-yaar! -
5th October 2005, 03:09 AM
is kalaam ko shayi-ishq aur shayri-dard dono me mein post karrahi hoon kyunki is kalaam mein mile jule se jazbaat hain..khushi ki leher hai toh dard ka ehsaas bhi hai......jo bhi ise padhe mujhe zaroor batayein ke yeh apko kaisi lagi...!
dil mein kuch dabe dabe se khaamosh armaan hai
ab tak hum tayre ikraar ke jaanam talabgaar hai
aajao ke ab toh bas teraa hi humko intezaar hai
doobjaye chaahat mei khuda ka yahi farmaan hai
poocho khud se kya tumhe meri khwaish nahi hai
boojho yeh paheli ke mujhe jawab ka intezar hai
kya nahi jaante tum mujhe tumse kitna pyaar hai
kyoo too meri is kashmakash se itnaa anjaan hai
jab jab toone mujhe yoon muskuraakar dekha hai
khizaaon mein mujhe bahaaron ka mazaa mila hai
jabbhi kabhi yuheen tune mujhe mudke dekha hai
sehra mein samundar ke hone ka ehsaas hua hai
jabjab tune apne hatho se mere gesu savare hai
tabtab lagta hai ke aane waale pal hamaare hai
tujhi se hi toh jaanam mere dil ka har karaar hai
tere binaa har pal lagta hai ke jeena bekaar hai
jaanti hoon mein ke tujhe bhi mujhse lagaav hai
phirr kyoon tujhe mujhe tadpaane ka khyaal hai
samajh nahi paarahi hu jane kya yeh maajra hai
aaj bataa hi de kyaa tujhe bhi mujhse pyaar hai??
"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."
**~*FaRhAnA*~**
|