Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
kotha
Old
  (#1)
karan q
Registered User
karan q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 26
Love kotha - 10th July 2004, 10:21 AM

Kotha

Har shaks tavaayaf hai, or jist mujra hai,
Tamannaon ke bazaar me duniya ek kotha hai,
Jaane iss gali se aaj kaun guzra hai,
Jo khushiyon ke samander pe-pe ker bebaak rota hai,
Her shaks tavaayaf hai………..

Her aalam me aate hain dewaane kitne,
Iss bazaar se jude hain fasaane kitne,
Jar-ra jarra ruh ka jal raha her taraf,
Kitne aayenge bujhaane or lagaane kitne,
Apni ruh ke jakhmo ko sapno me dubota hai ,
Her shaks tavayaf hai or jist mujra hai,
Tamannaon ke bazaar me duniya ek kotha hai,

Zindgi ki kadar jaanne ke liye marna jaroori,
Yaad reh jaane ke liye hai pyar kerna jaroori,
Ek raasta hai jo manzil hai,mukaam hai or haansil bhee
Halaat kaise bhee hon iss raah se guzarna jaroori
E khuda teri banaayi duniya ka dastoor anokha hai
Her shaks tavayaf hai or jist mujra hai,
Tamannaon ke bazaar me duniya ek kotha hai,

Karan.q


Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye

Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
  Send a message via Yahoo to karan q  
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com