Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 4.00 average. Display Modes
Teri Yaad... (meri jaan ke naam)
Old
  (#1)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
Post Teri Yaad... (meri jaan ke naam) - 29th December 2004, 12:15 PM

Aadaab DostoN!

Kal kuchh khayaal dil me aa gaye the.. apna ek puraana sher yaad aa gaya.. aur usi me lafz juDte gaye.. aur ban gaya ye kalaam.. In khayaaloN aur jazbaatoN ke peechhe kaun hai.. ye to aap jaante hain hi.. Umeed hai ki mohabbat ka ye rang pasand aayega... pesh hai

Jaan.. tumhaare naam...

_______________________________________

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti.

AshkoN se mitaaye tuune daagh aanchal ke,
Ye duniya mujhhe daaman dhone nahi deti.

Tera intezaar karta hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

_______________________________________

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
29th December 2004, 12:20 PM

Jaan,
humesha ki tarah apne jasbaat ko bahoot acche andaz se alfaz me kaid kiya hai tumne

bahoot khoob,

itna pyara kalam humare naam kiya

tumara

Kaddu

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Re: Teri Yaad... (meri jaan ke naam)
Old
  (#3)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Teri Yaad... (meri jaan ke naam) - 29th December 2004, 12:24 PM

Quote:
Originally posted by Afshan
Aadaab DostoN!

Kal kuchh khayaal dil me aa gaye the.. apna ek puraana sher yaad aa gaya.. aur usi me lafz juDte gaye.. aur ban gaya ye kalaam.. In khayaaloN aur jazbaatoN ke peechhe kaun hai.. ye to aap jaante hain hi.. Umeed hai ki mohabbat ka ye rang pasand aayega... pesh hai

Jaan.. tumhaare naam...

_______________________________________

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti.

AshkoN se mitaaye tuune daagh aanchal ke,
Ye duniya mujhhe daaman dhone nahi deti.

Tera intezaar karta hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

_______________________________________

meri afshan,

agar ise padhna bardast karna kaha jaaye... to yah bardast ka daur yunhi chala chalae...........
daad kubul karna ............. khaas kar is baat par......

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
29th December 2004, 12:35 PM

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti.

Aapki mohabbat ke is ehsaas ke kya kehne!!!

AshkoN se mitaaye tuune daagh aanchal ke,
Ye duniya mujhhe daaman dhone nahi deti.

Tera intezaar karta hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

Dua rahegi..ke is intezaar ki umra ab zyaada lambi naa rahe!!

Didi!

Kaisi hain? Hope u r doing well....

Kya kahoon aapke is kalaam ke baare me... Itna dard hai isme... Ek Ek shabd dil cheere jaata hai...Ek kalaam ki nazar se dekhoon to meri Dilee daad kubool karna....Bahut hi asardaar likha hai is baar bhi...Ek bhai ki nazaar se kahoon to..main kabhi nahi chahoonga ki aap itna dard bhara likho...

Khair.. jo bhi ho.. yeh kalaam aapki mohabbat ke naam hai.. aapki mohabbat ko mera bhi salaam hai ... Apna Khayal Rakhiyega.....Dooo TC And Keeeeepp Smiling

Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#5)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
29th December 2004, 01:32 PM

Afshan G Salaam,

Kaise mijaaz hai huzoor ke...? ummeed hai ba-khair honge. BaDe dinoN baad aapne kuch pesh kiya aur uss mein se mujhe kuch kafi pasand aayaa...

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Waakayee khoobsurat ashaar hai yeh.... koi kare to kya kare..Likhte rahiye sunaate rahiye... mehfil sajaate rahiye... dua go.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
29th December 2004, 03:16 PM

Quote:
Originally posted by Kadeer
Jaan,
humesha ki tarah apne jasbaat ko bahoot acche andaz se alfaz me kaid kiya hai tumne

bahoot khoob,

itna pyara kalam humare naam kiya

tumara

Kaddu

Meri jaan Kaddu..

Apne busy schedule me se nacheez ke liye waqt nikaalne ke liye shukria huzoor! LOL.. kidding..

Hmmm.. shukria to tumhaara adaa karna chaahiye.. jo reh reh kar dil ke jazbaatoN ke samandar le lehrein banaate rehte ho.. ye ehsaas tumhaare liye, isi liye kalaam bhi tumhaare naam!

Tumhe itna pasand aaya.. humaara likhna kaamyaab hua.

Yunhi saath dete rehna....

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
29th December 2004, 04:45 PM

Hi Afshan Ji,

Pur asar aur dard mein duba, apke kalaam ne to bas ghayal hi kar diya. Hmmmm, Jis ke liye likha unhe to allah hi bachaye

Sach, bas dil ki gehrayo tak chhu gaya aapka kalaam. Yeh lines to bas....

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Dua kartey hai ke aap sadaa khush rahe.

Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#8)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
29th December 2004, 05:37 PM

Pehle to...
Mubarakbad kubul kare..
Hame to pata hi nahi tha aapki "jaan" ke bare me..
Aur ye to sone pe suhaga ho gaya ki aapki jaan bhi shero shayri ka shok rakhte hai..
otherwise normally ye hota hai ki..shayaro ke partners aise hote hai ki unhe shayri sunane ke bad shayar ko pata chalta hai ki ...wah wah to keh di unhone magar ek lafj palle nahi pada..
khair,
jaha tak baat is kalam ki hia..
bahot khubsurat hai..bilkul aapke khayalo ki tarah
lekin sikayat hai...bahot gap rakh diya aapne do post ke bich me...
dhyan rakha kare..bahot se log najre jamaye baithe hote hai aapki post ke intejar main.

taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
29th December 2004, 07:53 PM

Afshan...... ........bahut khooB....ab 'is' dil ki baatieN to 'wo' dil hi jaane...dekhiye na......aapki ye bebasi...ke ehsaas or usper uko pirone waale aapke ye alfaaz....jeise sone pe suhaga.....bahut hi pasand aaye...specially first sher.....Neend khwaab.......aaNkhie ka khula rehna or isper unki yaad...aji kya baat hai....

ek purana kuchh ghisa-pita per hamaari situation per fit baithta sher yaad aa gaya hai ...jaane kisne likha hai per bahut khoob likha hai....gaur farmaaiyega....

Kehte haiN mohobbat me...NeeNd ud jaati hai
Kehte haiN mohobbat me...NeeNd ud jaati hai....

Are koi ham se bhi mohobbat karle...

HAMKO YE 'KAMBAKHT' NEEND BAHUT AATI HAI.

Chalta hooN ...Khuda haafiz.

Chaand

Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th December 2004, 07:56 PM

ek purana kuchh ghisa-pita per hamaari situation per fit baithta sher yaad aa gaya hai ...jaane kisne likha hai per bahut khoob likha hai....gaur farmaaiyega....

Kehte haiN mohobbat me...NeeNd ud jaati hai
Kehte haiN mohobbat me...NeeNd ud jaati hai....

Are koi ham se bhi mohobbat karle...

HAMKO YE 'KAMBAKHT' NEEND BAHUT AATI HAI.

Chalta hooN ...Khuda haafiz.

Chaand [/B][/QUOTE]

mere chaand,

good 1

tumhari meena
   
Reply With Quote
Re: Teri Yaad... (meri jaan ke naam)
Old
  (#11)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: Teri Yaad... (meri jaan ke naam) - 29th December 2004, 10:07 PM

Quote:
Originally posted by Afshan
Aadaab DostoN!

Kal kuchh khayaal dil me aa gaye the.. apna ek puraana sher yaad aa gaya.. aur usi me lafz juDte gaye.. aur ban gaya ye kalaam.. In khayaaloN aur jazbaatoN ke peechhe kaun hai.. ye to aap jaante hain hi.. Umeed hai ki mohabbat ka ye rang pasand aayega... pesh hai

Jaan.. tumhaare naam...

_______________________________________

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti.

AshkoN se mitaaye tuune daagh aanchal ke,
Ye duniya mujhhe daaman dhone nahi deti.

Tera intezaar karta hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

_______________________________________
afsan dost ....

sach ehad khubsoorat lafjo se sajaya hai aapne is kalam ko ... andaj-e-bayan kuch is kadar kiya hai ... ki nazre tham si gayi hai aapke is ehsaas ko ... sach hai ishq kuch aise lafzon se bandh hi deta hai ... jo kabhi khatam nahi hote ... aapke kalam ko mera salam....

har rah ka khatma tere daman main paya
meri kismat tu mere jeewan main aaya
khak thi jindgi jaagi umeed-e-saccha_pyar
tune badal jindgi meri ye karishma dikhaya

apna khyal rakhiyega ...

tumhara dost

kunal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#12)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
29th December 2004, 11:26 PM

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti.

AshkoN se mitaaye tuune daagh aanchal ke,
Ye duniya mujhhe daaman dhone nahi deti.

Tera intezaar karta hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

Afsan ji.....

bahut khoob bayan kiya hai pyar ki taakat ko.....

kyun dooba hua hun wafa ki pukhtagi mein......
teri nazar hai ke mujhe tairney nahi deti.....

koshishen ki bahut ki ye gubaar jam jaaye.....
teri badan ki garmi ise jamne nahi deti......

tumhara dost......

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
hi
Old
  (#13)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
hi - 30th December 2004, 04:16 PM

Afshan ji,

Namaskaar..ya ki adaab...aur mujhe pata nahi...

aapki yahi rachana padhi to bahut achchhi lagi... aur khas taur per yah sher ki line ne to ahama hi nishaan chhde hain....

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aur sanam ji ka maine reply bhi padha to hashi bhi aayi aur sach bhi laga...
aur aapko batay deta hoon ki.. main to chhoti moti shayri ker leta hoon aur meri life partner bhi shayri ki shaukin hain..
kuchh meri rachanao ko unhone petent ker liya hai jise to vo sunne to deti hai per kisi ko uski copy dene nahi deti hai...

khush rahiye...have a happy new year to you...

Akant...

*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote
Re: Re: Teri Yaad... (meri jaan ke naam)
Old
  (#14)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
Re: Re: Teri Yaad... (meri jaan ke naam) - 1st January 2005, 02:03 PM

Quote:
Originally posted by meena chheda
meri afshan,

agar ise padhna bardast karna kaha jaaye... to yah bardast ka daur yunhi chala chalae...........
daad kubul karna ............. khaas kar is baat par......

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

meena

Meena..

Ye humaari khushnaseebi hai ki is dil me ab bhi itne jazbaat aur ehsaas hain ki hum kuchh likha sakein.. aur ye kiska karam hai, ye to tum jaanti ho hi!! Isi liye, ye daad unke naam!

Tum yunhi saath nibhaati rehna..

Apna khayaal rakhna!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
3rd January 2005, 10:04 AM

Quote:
Originally posted by Pulkit_gupta
Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti.

Aapki mohabbat ke is ehsaas ke kya kehne!!!

AshkoN se mitaaye tuune daagh aanchal ke,
Ye duniya mujhhe daaman dhone nahi deti.

Tera intezaar karta hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

Dua rahegi..ke is intezaar ki umra ab zyaada lambi naa rahe!!

Didi!

Kaisi hain? Hope u r doing well....

Kya kahoon aapke is kalaam ke baare me... Itna dard hai isme... Ek Ek shabd dil cheere jaata hai...Ek kalaam ki nazar se dekhoon to meri Dilee daad kubool karna....Bahut hi asardaar likha hai is baar bhi...Ek bhai ki nazaar se kahoon to..main kabhi nahi chahoonga ki aap itna dard bhara likho...

Khair.. jo bhi ho.. yeh kalaam aapki mohabbat ke naam hai.. aapki mohabbat ko mera bhi salaam hai ... Apna Khayal Rakhiyega.....Dooo TC And Keeeeepp Smiling

Hi Pulkit!! Kaise ho??

Pata nahi kaise is kalaam me dard hi nazar aa raha hai.. ye kalaam to humaari khushkismati bayaan kar raha hai, ki hume aisi mohabbat mili, jo wo kaam kar gayi, jo shayad hum kabhi na kar paate.. Haan, dard hai to sirf judaii ka.. wo bhi to kabhi na kabhi duur ho hi jaaegi.. Tum yuNhi hausla baRaate rehna.. aur apni is behen ke liye dua karte rehna! Thanks for all the encouragement!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
3rd January 2005, 01:08 PM

Quote:
Originally posted by talib
Afshan G Salaam,

Kaise mijaaz hai huzoor ke...? ummeed hai ba-khair honge. BaDe dinoN baad aapne kuch pesh kiya aur uss mein se mujhe kuch kafi pasand aayaa...

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Waakayee khoobsurat ashaar hai yeh.... koi kare to kya kare..Likhte rahiye sunaate rahiye... mehfil sajaate rahiye... dua go.
Wassalaam Janaab!

Kaise hain aap??? Hum to humesha ki tarah A1, zabardast! (Khan bhayya ki zubaan me )

Ji.. kabhi kabhi kalam kchh sust ho jaati hai.. pichhla kalaam humne kuchh 2 hafte pehle likha tha.. ab ye likha hai... dekhte hain, jazbaat ab kab karwaT badalte hain..

Hausla afzaii ke liye tah e dil se shukria! Apna khayaal rakhiyega.. Allah Hafiz!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
amrit_sharad
Just a normal guy
amrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really nice
 
amrit_sharad's Avatar
 
Offline
Posts: 480
Join Date: Apr 2003
Location: HindusTaaN...
Rep Power: 25
3rd January 2005, 05:16 PM

AfSaan Jiii..

KaiSi Hai AaP ... Happy New Year

AaP Ka Ye QaLaaM PaD KaR BaDa AccHa LeGa...

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti

Ye BaaT Kah Hai AaP Ne Ki BuLa DeGe Un ko PaR HuM BuLa Hi NahiN PaTe ... Man Se NiKaL DeTe Hai PaR DiL Se To HuM NiKaL NahiN PaTe.. Kabhi KaBhi Aasa HoTa Hai ..

AaP Ne BaHuT Hi AccHa LiKha Hai PaD KaR BaHuT AccHa LeGa...

TaReeF QaBooL KaRe...

AaP Ka DosT

ChalTa Hoon.....

AaP Ka DosT
--------------
Amrit
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#18)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 3rd January 2005, 10:04 PM

banno
kasi ho?
ab hmain maloom hwa...tumhari narazgi ka sabab..
sorry...
bohat hi piyara likha hay....
mohabbat ka yeh faida to hayna k lafzon ko sajnae
main zida mahnat nahi karni parti...or lafz kis tarah piyare ho jate hain yeh to ham dekh hi rahe hian....aik sher..

Tera intezaar karti hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

bohat hi acha sher hay...tareef k kabil

apnakhiyal rakhna..
khan
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
4th January 2005, 10:19 AM

Quote:
Originally posted by candyboy
Hi Afshan Ji,

Pur asar aur dard mein duba, apke kalaam ne to bas ghayal hi kar diya. Hmmmm, Jis ke liye likha unhe to allah hi bachaye

Sach, bas dil ki gehrayo tak chhu gaya aapka kalaam. Yeh lines to bas....

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Dua kartey hai ke aap sadaa khush rahe.

Salaam Salim saahab!

are!! kya hum ITNA bura likhte hain ki Allah ko UNHE humse bachaana paRega???

LOL... Haan.. umr bhar gar humaari shayri jhhelni paRe to shayad!

Aapne kalaam paRa, use is qadar mehsus kiya.. humaari hausla afzai ki.. bohat bohat shukria!!! Khaaskar dua ke liye...

Allah NigehbaaN!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
wah
Old
  (#20)
meetaparekh
Registered User
meetaparekh will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 529
Join Date: May 2004
Rep Power: 20
wah - 4th January 2005, 11:15 AM

Afsan
bahot khub likha hai, keep it up.

meetaparekh
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
16th January 2005, 02:36 PM

Quote:
Originally posted by dil_e_sikast
Pehle to...
Mubarakbad kubul kare..
Hame to pata hi nahi tha aapki "jaan" ke bare me..
Aur ye to sone pe suhaga ho gaya ki aapki jaan bhi shero shayri ka shok rakhte hai..
otherwise normally ye hota hai ki..shayaro ke partners aise hote hai ki unhe shayri sunane ke bad shayar ko pata chalta hai ki ...wah wah to keh di unhone magar ek lafj palle nahi pada..
khair,
jaha tak baat is kalam ki hia..
bahot khubsurat hai..bilkul aapke khayalo ki tarah
lekin sikayat hai...bahot gap rakh diya aapne do post ke bich me...
dhyan rakha kare..bahot se log najre jamaye baithe hote hai aapki post ke intejar main.

Hi Sanam!!

Kaisi ho??

Sabse pehle to maafi chaahte hain.. yahaan tum shikaayat kar rahi ho ki kalaam likhne ke beech bohat gap ho gayi, aur humne to jawaab dene me usse bhi zyada der kar di!! Lekin haalaat hi kuchh aise ho gaye the.. kya karein.

LOL.. ji.. Kadeer shayri me kaafi dilchaspi rakhte hain.. Ye haal umr bhar rahe to behtar hoga.. unke liye, aur humaare liye bhi!! Hum aage bhi likh paayenge.. aur wo humaare kalaam bardasht bhi kar paayenge!

Kalaam paRne ka aur use pasand karne ke liye bohat bohat shukria! bohat achha lagta hai jab koi aisa shayar aapke kalaam ki tareef kare, jiske fan ke aap khud kaayal ho! Yunhi hausla baRaati rahna!

Take care!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
16th January 2005, 02:41 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
Afshan...... ........bahut khooB....ab 'is' dil ki baatieN to 'wo' dil hi jaane...dekhiye na......aapki ye bebasi...ke ehsaas or usper uko pirone waale aapke ye alfaaz....jeise sone pe suhaga.....bahut hi pasand aaye...specially first sher.....Neend khwaab.......aaNkhie ka khula rehna or isper unki yaad...aji kya baat hai....

ek purana kuchh ghisa-pita per hamaari situation per fit baithta sher yaad aa gaya hai ...jaane kisne likha hai per bahut khoob likha hai....gaur farmaaiyega....

Kehte haiN mohobbat me...NeeNd ud jaati hai
Kehte haiN mohobbat me...NeeNd ud jaati hai....

Are koi ham se bhi mohobbat karle...

HAMKO YE 'KAMBAKHT' NEEND BAHUT AATI HAI.

Chalta hooN ...Khuda haafiz.

Chaand

Hahahahaa

Chaand!!

Kaise ho??

Hmmm... ye kismat bhi ajeeb khel khelti hai.. jo chaaho wo nahi milta, aur jo NA chaaho, uski humesha bharmaar rehti hai! For instance, hume neend nahi aati, lekin sone ke liye waqt kaafi mil jaata hai.. kaii log hote hain, bechaare, jinhe neend to aati hai lekin neend puuri karne ka waqt nahi hota! aur aksar aise logoN ko hi bohat neend aati hai!.. KahiN aap bhi inme shumaar to nahi rakhte??

rahi baat kalaam ki tooooo.... Full credit to Kadeer!

Apna khayaal rakhna.. !

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
16th January 2005, 02:48 PM

har rah ka khatma tere daman main paya
meri kismat tu mere jeewan main aaya
khak thi jindgi jaagi umeed-e-saccha_pyar
tune badal jindgi meri ye karishma dikhaya

Hi Kunal!!

Kaise ho??

Tumne behad saada, aur khubsoorat sher likha hai jawaab me.. bohat sachcha bhi.. pyaar ki tarah! Isme hume apna hi aks nazar aaya.. apni hi daastaan sunaayi di.. aur yahi to khaasiyat hoti hai ek achhe shayar ki.. ki wo jo likhe, har koi usme apna kissa paaye! bohat khoob!

Der se jawaab de rahe hain.. umeed hai bura nahi maana hoga! Kaii dino baad site par tafseel se dostoN ko jawaab dene ka mauka mila hai.. Ab bhi bohat se kalaam hain jinhe paRna hai.. I've missed SO MUCH!!.. bas, koshish hai ki jald sejald jitne kalaam paR sakein paRein!

Tumne humesha ki tarah humaara huasla baRaaya.. bohat bohat shukria!!

Apna khayaal rakhna!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
16th January 2005, 03:21 PM

Quote:
Originally posted by Aman_rahi

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aa jaate hain aankhoN tak dil ke sailaab,
Teri nam nazrein inhe rone nahi deti.

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti.

AshkoN se mitaaye tuune daagh aanchal ke,
Ye duniya mujhhe daaman dhone nahi deti.

Tera intezaar karta hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

Afsan ji.....

bahut khoob bayan kiya hai pyar ki taakat ko.....

kyun dooba hua hun wafa ki pukhtagi mein......
teri nazar hai ke mujhe tairney nahi deti.....

koshishen ki bahut ki ye gubaar jam jaaye.....
teri badan ki garmi ise jamne nahi deti......

tumhara dost......

Aman ji..

Aapne humaare kalaam me ye ashaar joD kar isme chaar chaand laga diye! Iske liye bohat bohat shukria! Umeed hai ki aage bhi aisa hi likhein jo aap dostoN ko pasand aaye!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#25)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
Re: hi - 16th January 2005, 03:28 PM

Quote:
Originally posted by akant
Afshan ji,

Namaskaar..ya ki adaab...aur mujhe pata nahi...

aapki yahi rachana padhi to bahut achchhi lagi... aur khas taur per yah sher ki line ne to ahama hi nishaan chhde hain....

Tere sapnoN ke intezaar me rehti hain palkein,
Aur teri yaad hai ki mujhhe sone nahi deti.

Aur sanam ji ka maine reply bhi padha to hashi bhi aayi aur sach bhi laga...
aur aapko batay deta hoon ki.. main to chhoti moti shayri ker leta hoon aur meri life partner bhi shayri ki shaukin hain..
kuchh meri rachanao ko unhone petent ker liya hai jise to vo sunne to deti hai per kisi ko uski copy dene nahi deti hai...

khush rahiye...have a happy new year to you...

Akant...
LOL!!

Akant ji..

Aapka kissa sun kar apni daastaan yaad aa gayi.. apna bhi kuchh aisa hi haal hai! Ofcourse, kuchh kalaam aise hote hain jo sirf aur sirf sanam ke liye hote hain.. agar sanam chaahe to jahaan ke saath baaNTe.. apna maqsad to dil ki baat unhe kehna hota hai.. hai na?? Haan, jo 'Unpatented' kalaam hain, wo pesh karne me koi harz nahi!

Jiske khayaaloN ke chalte ye kalaam likha tha, aapki daad ke haqdaar bhi wahi hain.. ! Humesha ki tarah humaara huasla baRaane ke liye bohat bohat shukria!!

Apna khayaal rakhiyega aur humesha muskuraate rahiyega!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
18th January 2005, 01:49 PM

Quote:
Originally posted by amrit_sharad
AfSaan Jiii..

KaiSi Hai AaP ... Happy New Year

AaP Ka Ye QaLaaM PaD KaR BaDa AccHa LeGa...

Socha tha bhula denge jazbaa e ulfat,
Teri mohabbat ye ehsaas khone nahi deti

Ye BaaT Kah Hai AaP Ne Ki BuLa DeGe Un ko PaR HuM BuLa Hi NahiN PaTe ... Man Se NiKaL DeTe Hai PaR DiL Se To HuM NiKaL NahiN PaTe.. Kabhi KaBhi Aasa HoTa Hai ..

AaP Ne BaHuT Hi AccHa LiKha Hai PaD KaR BaHuT AccHa LeGa...

TaReeF QaBooL KaRe...

AaP Ka DosT
Sharad ji..

Aapko bhi naya saal mubaarak ho!! halaaki yahaan jawaab dene me kaafi der kar di humne.

JI.. sachi kaha aapne.. kuchh cheezein laakh koshish karne ke bawajood bhulaayi nahi jaati. Aksar aisa hota hai ki dil TooT jaata hai, aur hum nahi chaahte ki ye phir juDe.. Magar achaanak koi aakar dil ke tukRe sameT kar, use phir kaamil bana deta hai, usme phir se jaan daal deta hai..aur uski ye mohabbat dil ko, ehsaas ko, armaan ko, phir marne nahi deti.. bas, yahi kehna chaah rahe the is sher me. Aapne ise itna mehsus kiya.. itna saraaha.. bohat bohat shukria! Yunhi hausla baRaate rahiyega...

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#27)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
Re: hi - 18th January 2005, 01:54 PM

Quote:
Originally posted by banjara''''
banno
kasi ho?
ab hmain maloom hwa...tumhari narazgi ka sabab..
sorry...
bohat hi piyara likha hay....
mohabbat ka yeh faida to hayna k lafzon ko sajnae
main zida mahnat nahi karni parti...or lafz kis tarah piyare ho jate hain yeh to ham dekh hi rahe hian....aik sher..

Tera intezaar karti hai ghayal ruh meri..
Teri umeed mujhhe fanah hone nahi deti.

bohat hi acha sher hay...tareef k kabil

apnakhiyal rakhna..
khan

Salaam bhayya!!

Aji hum bhi kabhi aapse naraaz hoN sakte hain bhala??

'Mohabbat'... ab ye kya shay hai aur ye insaan ko kya se kya banaa deti hai.. use kis kaabil kar deti hai, ya kisi kaabil nahi chooDti.. ye to yahaan shayad hi koi nahi jaanta ho.. bas, ye mohabbat bani rahe to saansein chalti rahengi!

Aapko ye kalaam pasand aaya.. behad khushi hui! Aap Kadeer se keh dena.. humaara likhna ya na likhna un par hai!

Apna khayaal rakhiyega bhayya.. Phir milte hain..

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#28)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 18th January 2005, 10:27 PM

banno
kasi ho?
shyad bzy ho?
ham pochte the k kiyon nahi likhti ho....?
magar aap nahi btatai thi..shayad yehi wjah hay nahi likhne ki
ab kadeer se kahna to zara mushkil ho ga...
magar phir bhi ham koshih krain gain...

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Re: wah
Old
  (#29)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
Re: wah - 27th January 2005, 09:54 PM

Quote:
Originally posted by meetaparekh
Afsan
bahot khub likha hai, keep it up.

Meeta ji...

Kalaam paRne aur ise pasand karne ke liye bohat bohat shukria!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#30)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
Re: hi - 27th January 2005, 09:57 PM

Quote:
Originally posted by banjara''''
banno
kasi ho?
shyad bzy ho?
ham pochte the k kiyon nahi likhti ho....?
magar aap nahi btatai thi..shayad yehi wjah hay nahi likhne ki
ab kadeer se kahna to zara mushkil ho ga...
magar phir bhi ham koshih krain gain...

Salaam bhayya!!

busy nahi hai.. BOHAT busy hai!!

LOL.. haan.. na likhne ki ye EK wajah hai.. waise to kaii wajah hoti hain.. jaise abhi bayaan karne ke liye jazbaatoN ki bharmaar hai.. lekin inhe lafzoN ki soorat dene ka waqt nahi.. khair, jald hi Inshallah kuchh pesh karte hain...

Aap apna khayaal rakhiyega.. aur duaoN me yaad rakhiyega!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
tu meri ansu main teri yaad surja Shayri-e-Ishq 0 22nd November 2008 07:46 AM
Meri Jaan Afshan Ke Naam Kadeer Hindi/Urdu Lyrics 4 15th September 2004 05:51 PM
Dil ne tera naam liya.. Dil ko teri yaad aayi... chaahat Hindi/Urdu Lyrics 2 11th September 2004 01:11 AM
Jaan Teri Yaad ....... KRandhawa Shayri-e-Dard 1 5th March 2004 03:48 PM
zidd yeh teri meri jaan leke jayegi aks the great Shayri-e-Ishq 0 30th August 2002 01:11 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com