Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aarzoo thee ki nibhate jaayen
Old
  (#1)
karan q
Registered User
karan q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 26
Aarzoo thee ki nibhate jaayen - 18th October 2005, 10:40 AM

Aarzoo thee ki sunaate jaayen


Aashiq ko sharaabon ka samander teri aankhen,Likhti hain mera roz muqaddar teri aankhen,andheron ke musafir ko roshini tera wajood,Maine do jahaan pa liye padhker
Teri aankhen….Zindgi jeene ke mujhe gur sikha gayi,or jaane kya kya keh gayi hanskar teri aankhen,begaana banaata hai mujhko tera salook ,or mujhe apna banaati hain ladkar teri aankhen,duniya ne mujhse mera pataa pooch liya thaa, or main aa gayaa kaagaz per likhker teri aankhen,


Aarzoo thee ki sunaate jaayen
Hum tere ishq ko gaate jaayen

Jo mujhe pyar dil se karte hain
Wo mere naaz utthate jaayen

Sun liya aapka kya rutba hai
Meri aukaat bataate jaayen

Dekhiye humko ek baar hanskar
Aap humko bhi hansate jaayen

Ruh se ruh gar mile na mile
Jism se jism milaate jaayen

Hum sar-e-aam peete jaayenge
Aap aankhon se pilaate jaayen

Roshini apne saath le jaayen
Aap mere dil ko jalaate jaayen

Aap gairon pe meharba.n hain bahut
Pyas meri bhi bujhate jaayen

Humko haqiqat bayaan kar jaayen
Aaina humko dikhaate jaayen

Jab tak ke saans ruk na jaaye karan
Dard se rishta nibhate jaayen


Karan.q


Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye

Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
  Send a message via Yahoo to karan q  
Reply With Quote
Old
  (#2)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
18th October 2005, 12:35 PM

karan jee.........
aap starting hi bahut badiya dete haiN.....to poori ghazal me ek alag ehsaas hota hai......aisa laga ki ek geet sun rahi thi maiN.....
aur
(aashiq ko samandar-----------------likhkar teri aankhen)

ye aashaar to bahut hi shaandaar the......aap apne har kalaam ka aaghaaz kuch isi tarah se karte haiN......
sach kahooN to main apke kalaamo ka hameshaa intezaaar karti hooN.......is forum me aana kam hi hota hai lekin aajkal frequently aa rahi hooN....aap dard pe bhi kuch post kariyeega......

thanx,
KasaK.......


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#3)
ashiq awara,
copy shayar
ashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the rough
 
ashiq awara,'s Avatar
 
Offline
Posts: 445
Join Date: Sep 2005
Location: MUMBAI---- ( mai-khana )
Rep Power: 22
18th October 2005, 02:06 PM

hi karan ,
bohat hi khoobsurat kalam hai ise hum sab ke saath sher karne ka shukriya isi tarah likhte rahiye apna khyaal rakhiye bye.

!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!*

aap ki yaad aaye to dil kiya kare,
dil jo dil ko churaaye to dil kiya kare ,
shikve bhi aap se shikayat bhi aap se.......
aap ke bin jiyaa na jaaye to dil kiya .

!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!**!*
ashiq awara


Not Mine.


mai kabhi kuch nahi likhta bas
dusron ka likha post karta hoon
kyonki mai shayar nahi hoon
lekin mujhe shayri bohat pasand hai
  Send a message via Yahoo to ashiq awara,  
Reply With Quote
Old
  (#4)
red_ruchika
Registered User
red_ruchika will become famous soon enoughred_ruchika will become famous soon enough
 
red_ruchika's Avatar
 
Offline
Posts: 381
Join Date: Feb 2003
Location: apni dillii
Rep Power: 23
23rd October 2005, 02:42 PM

aankhen
dard ke saath aur bhi bahot kuuch bayan karti hai
par shart yeh hai ki aashiq tak unki zaroorat to pahonche...

vaise ,accha likha hai


"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
  Send a message via Yahoo to red_ruchika  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
4th November 2005, 08:59 PM

bhaiya jaanta hoon aap jawab me reply nahi karenge.par kya karoon is baar rok na saka khud ko.gazab dhaye ho aap is baar.bahut pasand aayi mujhe aapki ye rachna.humare dil se nikli hui daad kabool farmayen aap.

aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#6)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
7th November 2005, 09:47 AM

wow....bahaut badhiya likkha hai aapne karan....sach padhke alag hi ehsaas hua hai....tareef kubool karein.... apna khyaal rakhiyega.bye


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarha Nibhate Ho by Rubina Yasmeen silent-tears Shayri-e-Ishq 0 1st September 2010 11:34 AM
Dosti hum is kadar nibhate rahe! Mann Anjuman-e-Shayri 0 3rd March 2010 07:50 PM
wo muhababt thee na woo chahat thee silent-tears Shayri-e-Dard 8 17th February 2008 02:39 PM
Do Pal Mil Jaayen Anupama18 Shayri-e-Ishq 4 29th October 2006 02:19 AM
Kaise Nibhate Hain Dosti roopali Shayri-e-Dard 16 14th August 2004 03:29 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com