Quote:
Originally Posted by MEDHA_JAIN3
Mujhe aaj tak samjh nahi aaya ki insane aaine me kya talash karta hai, wo kyo aaine ko choonta hai apna wajood apni pahchan talash karne ke liye, jabki wo jaanta hai ki aaine ka koi apna wajood nahi or na usaki koi pahchan hai
Kal apane aks ko talash kar rahe the aaine me
Apna wajood apni pahchan sab khoj rahe the
Hum bade gour se dekh rahe the aaine ko
Wo bhi bade gour se hume dekh raha tha
Thode pareshan ho kar jab hum sir khujane lage
To dekhiye wo bhi humari pareshani me shareek hone lage
Badi rahat mahsus hui ki chaliye koi to apna hai
Jo humare gumo ko apna kahta to hai
Hum muskuraye to aaina bhi muskura diya
Hum muskuraye aaine ke apanepan par
Or wo muskuraya humare andhe yakee.n par
medha jain
|
waah medha maan gaye tumhari soch ko
kitne saral shawado main tum kitni gahri baat kah deti ho waki
dil se daad kabool karo
dilip