Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mere walid bade khamosh rahte hain...
Old
  (#1)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
Post mere walid bade khamosh rahte hain... - 22nd June 2011, 01:07 AM

mere walid bade khamosh rahte hain...

bahut hi chand lamhe hain ki unse baate hoti ho,

main jab kuch achcha karta hun
khushi se unka seena fuul jata hai
magar mujhse nahi kahte...

main jab kuch galti karta hun
bade afsos se unki nigahen niche hoti hain
magar mujhse nahi kahte...

main jab bimar hota hun
vo apne aap ko kamjor pate hain
magar mujhse nahi kahte...

main jab maa se baat karta hun
to har aik baat sunte hain
magar mujhse nahi kahte...

badi masum si duniya saja kar di mujhe unne
jaha ahsas hote hain
jinhe main jaan leta hun
jinhe vo jaan lete hain

kabhi itni bhi bate ho nahi pati
ki bete tumko janmdin mubaraq ho
ya fir main ye kah saku ki paa
mera janm din hai "charan sparsh"
main maa ko bol deta hun ki paa ko bol deta tum
aur paa ka dil khushi se jhuum uthta hai
magar mujhse nahi kahte ...

mere walid bade khamosh rahte hain...


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
मेरे वालिद बडे खामोश रह्ते हैं...
Old
  (#2)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
Post मेरे वालिद बडे खामोश रह्ते हैं... - 22nd June 2011, 01:30 AM

मेरे वालिद बडे खामोश रह्ते हैं...

बहुत ही चन्द लम्हे हैं कि उनसे बातें होती हो,
मैं जब कुछ अच्छा करता हूं
खुशी से उनका सीना फ़ूल जाता है
मगर मुझसे नही कह्ते...

मैं जब कुछ गलती करता हूं
बडे अफ़्सोस से उनकी निगाहें नीचे होती हैं
मगर मुझसे नही कहते...

मैं जब बीमार होता हूं
वो अपने आप को कमजोर पाते हैं
मगर मुझसे नही कहते...

मैं मां से बात करता हूं
तो हर ऐक बात सुनते हैं
मगर मुझसे नही कह्ते...

बडी मासूम सी दुनिय सजा कर दी हमे उनने
जहां अहसास होते हैं
जिन्हे हम जान लेते हैं
जिन्हे वो जान लेते हैं
कभी इतनी भी बातें हो नही पाती
कि बेटे तुमको जन्मदिन मुबारक़ हो
या फ़िर मैं ये कह सकूं कि पा
मेरा जन्म दिन है "चरण स्पर्श"
मैं मां को बोल देता हूं कि पा को बोल देना तुम
और पा का दिल खुशी से झूम उठता है
मगर मुझसे नही कह्ते ...

मेरे वालिद बडे खामोश रहते हैं...


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
22nd June 2011, 10:32 AM

Ufffff.... kya kahuN bhai, badi ajeeb si haalat kar di aapne meri...is kalaam ka lafz lafz kaafi thaa mere rongte khade kar dene ke liye... har ek ehsaas bahot gahraai tak utar gayaa. Saara manzar nazar ke saamne aa gayaa aur jo dard tumne kaagaz pe utaraa bhai wo dil me mahsoos ho raha hai...sirf daad dena kaaafi nahi hoga is kalaam ke haq me... aur main kuch kah sakuuN is laayaq bhi nahi chhodaa aapne... bas likhte raho yaar.

tumhara bhai
shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
22nd June 2011, 10:43 AM

Quote:
Originally Posted by baagi View Post
mere walid bade khamosh rahte hain...

bahut hi chand lamhe hain ki unse baate hoti ho,

main jab kuch achcha karta hun
khushi se unka seena fuul jata hai
magar mujhse nahi kahte...

main jab kuch galti karta hun
bade afsos se unki nigahen niche hoti hain
magar mujhse nahi kahte...

main jab bimar hota hun
vo apne aap ko kamjor pate hain
magar mujhse nahi kahte...

main jab maa se baat karta hun
to har aik baat sunte hain
magar mujhse nahi kahte...

badi masum si duniya saja kar di mujhe unne
jaha ahsas hote hain
jinhe main jaan leta hun
jinhe vo jaan lete hain

kabhi itni bhi bate ho nahi pati
ki bete tumko janmdin mubaraq ho
ya fir main ye kah saku ki paa
mera janm din hai "charan sparsh"
main maa ko bol deta hun ki paa ko bol deta tum
aur paa ka dil khushi se jhuum uthta hai
magar mujhse nahi kahte ...

mere walid bade khamosh rahte hain...


Bohat hi touching haiN aapke ehsaas baagi sahab................




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Abid_Majaaz
Registered User
Abid_Majaaz will become famous soon enough
 
Abid_Majaaz's Avatar
 
Offline
Posts: 40
Join Date: Apr 2010
Location: Peshawar Pakistan
Rep Power: 0
6th July 2011, 10:15 PM

Yaqinan Apki Tehreer Main Dard Hai,Lekin Agr Parhne Wala Zara Sa is Pe $och le to wo Dard khud smjh lega.
Dost,Main ne bhi Maa,Baap k Liye Poetry Likhi Or Maa Wali Poetry is forum k frndz k sath share bhi kr chuka hun.
Thanx
+923149815410
AbidAfzal2011@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
10th July 2011, 03:48 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Ufffff.... kya kahuN bhai, badi ajeeb si haalat kar di aapne meri...is kalaam ka lafz lafz kaafi thaa mere rongte khade kar dene ke liye... har ek ehsaas bahot gahraai tak utar gayaa. Saara manzar nazar ke saamne aa gayaa aur jo dard tumne kaagaz pe utaraa bhai wo dil me mahsoos ho raha hai...sirf daad dena kaaafi nahi hoga is kalaam ke haq me... aur main kuch kah sakuuN is laayaq bhi nahi chhodaa aapne... bas likhte raho yaar.

tumhara bhai
shaad...
bahut shukriya sameer saheb, dosto ki duaye sath rahi to ahsaas ke rang kagaj par ubharte rahenge...apki dili daad ke liye bahut shukriya.khush rahen....baagi


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#7)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
10th July 2011, 03:51 AM

bahut shukriya zainy ji ,bahut shukriya abid saheb.khush rahen....baagi


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com