Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   Dil ko Chu Lene Wali Shayri by Mohsin Naqvi (My Fav. Poet) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=66937)

Hassan 3rd September 2009 03:20 PM

Dil ko Chu Lene Wali Shayri by Mohsin Naqvi (My Fav. Poet)
 
Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin

Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karien kesey gavara Mohsin

..>SilenT<..

Poet: Mohsin Naqvi

Hassan 3rd September 2009 03:25 PM

Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon mein gum phirte ho?

Itne khaif kyun rehte ho?
Hur aahat se dar jate ho

Tez hawa ne mujhse pocha
Rait pe kia likhte rehte ho?

Kash koi hum se bhi pochey
Raat gaye tak kyun jagte ho?

Main darya se bhi darta hon
Tum darya se bhi gehre ho!

Pechy mur kar kyun dekha tha
Pather ban kar kia takte ho?

Apne Shehr k sab logon se
Meri khatir kyun uljhe ho?

Hum se na pocho hijar ke qissey
Apni kaho tum kesey ho!

Mohsin tum badnaam boht ho
Jese ho, phir bhi ache ho

Poet: Mohsin Naqvi

Hassan 3rd September 2009 03:32 PM

Thak Jao Gi

Pagal ankhon wali larki!
Itne mehnge khawab na dekho____
Thak jao gi!!

Kanch se nazuk khawab tumhare
Toot gaye to
Pachtao gi!!

Soch ka sara ujla kundan
Zabt ki rakh mein ghul jaye ga
Kachey pakkey rishton ki khushbo ka resham
khul jaye ga-!!

Tum kia jano?
Khawab, safar ki dhop ke taishey
Khawab, adhori rat ka dozakh
Khawab, khiyalon ka pachtawa
Khawabon ki manzil ruswai!
Khawabon ka hasil tanhai!!

Tum kia jano?
Mehnge khawab kharedna hon to
Ankhien bechna parti hain____Ya
Rishte bholna parte hain

Andeshon ki rait no phanko
Piyas ki aot sarab na dekho
Itne mehnge khawab no dekho--!!
Thak Jao Gi!!

Poet: Mohsin Naqvi

Hassan 3rd September 2009 03:38 PM

Itna khali to ghar nahi, hum hain!
Hum nahi hain magar nahi, hum hain!!

Chasm-e-dushman ke khuf se pocho
Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain

Sham-e-tanhai gham na kar k tera
Koi bhi humsafar nahi, hum hain

Chand se keh do, be dharak utre
Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain

Woh jo sab se hain be khaber, tum ho
Jin ko apni khaber nahi, hum hain

Kyun jalate ho jhonpri apni?
Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain

Hum hain humzaad, raat ko Mohsin
Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain

Poet: Mohsin Naqvi

sunita thakur 5th September 2009 11:33 AM

thanks for sharing .................................nice poetry.

Hassan 5th September 2009 01:59 PM

It's my pleasure Sunita Ji.....
Mohsin Naqvi ki shayri mere dil ko to chu leti hai.......

Mohammad Kashif 5th September 2009 02:08 PM

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Assalam-o-Alaykum Hassan ji bahut hi umda collection aapne yan.ha pesh kiya khaaskar pehle wali gazal ke to kehne hi kya.......hamse yeh gazal bantne ke liye shuhriya janaab

Hassan 5th September 2009 06:56 PM

W/Salam Kashif Bhai,
Mujhe khushi hui yeh sun kar, Mohsin Naqvi is bestest poet my dear,
and his compositions are very very beautiful,

Hassan 6th September 2009 06:53 PM

Ab is se bhar k bhalan kia ho ehtiyaat-e-wafa,
Mai tere shehr se guzron, tujhe khaber na karon!

Wo aik pal ko dikhayai to de kahin Mohsin,
Mai jaan ganva ke bhi us pal ko mukhtasir na karoN!

Hassan 30th September 2009 10:03 AM

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karien kesey gavara Mohsin

zainy 30th September 2009 08:10 PM

superb!!....bohat acchi collection hai.....thanks for sharing......:)

Hassan 30th September 2009 11:35 PM

Zainy Ji,
Boht boht shukria sharing pasand karnay ka :)

Aisay hi saath detay rahiye ga,

GOD BLESS YOU,

janumanu 14th October 2009 05:56 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan Rasheed (Post 364954)
Itna khali to ghar nahi, hum hain!
Hum nahi hain magar nahi, hum hain!!

Chasm-e-dushman ke khuf se pocho
Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain

Sham-e-tanhai gham na kar k tera
Koi bhi humsafar nahi, hum hain

Chand se keh do, be dharak utre
Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain

Woh jo sab se hain be khaber, tum ho
Jin ko apni khaber nahi, hum hain

Kyun jalate ho jhonpri apni?
Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain

Hum hain humzaad, raat ko Mohsin
Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain

Poet: Mohsin Naqvi

Itna khali to ghar nahi, hum hain!
Hum nahi hain magar nahi, hum hain!!

kamaal hai ...............:)

Hassan 14th October 2009 01:52 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 369647)
Itna khali to ghar nahi, hum hain!
Hum nahi hain magar nahi, hum hain!!

kamaal hai ...............:)

Vikaas Jii,,,

:) Sharing pasand karnay ka shukria...
Waqai yeh kamal line hai,,,

Itna khali to ghar nahi, hum hain!
Hum nahi hain magar nahi, hum hain...!

Wah......!!

Take care,,

GOD BLESS YOU,,

Hassan 20th October 2009 09:27 AM

Badan pe apne lahoo ka libaas rakhta hon,
Main khaas phool hon rangat bhi khas rakhta hon,

Kisi khushi ki bhala ab mujhe khushi kyun ho,
Tumhare ghum se jo khud ko udas rakhta hon,

Main apne Dard kahan bant'ta phiron Mohsin,
K main apni cheezien faqat apne pas rakhta hon,,

fezan 24th October 2009 11:18 PM

Nice sharing........................................... ........

Fezan

Hassan 11th November 2009 02:55 PM

Fezan Jii,,

Thanks a lot.......................................... :)

amit7600 12th November 2009 12:45 PM

Badan pe apne lahoo ka libaas rakhta hon,
Main khaas phool hon rangat bhi khas rakhta hon,

Kisi khushi ki bhala ab mujhe khushi kyun ho,
Tumhare ghum se jo khud ko udas rakhta hon,

Main apne Dard kahan bant'ta phiron Mohsin,
K main apni cheezien faqat apne pas rakhta hon,,

Subhan allaha!!
Kya ehsaas hai....
bahut khoob....

Hassan 30th December 2009 10:48 AM

Quote:

Originally Posted by amit7600 (Post 373469)
Badan pe apne lahoo ka libaas rakhta hon,
Main khaas phool hon rangat bhi khas rakhta hon,

Kisi khushi ki bhala ab mujhe khushi kyun ho,
Tumhare ghum se jo khud ko udas rakhta hon,

Main apne Dard kahan bant'ta phiron Mohsin,
K main apni cheezien faqat apne pas rakhta hon,,

Subhan allaha!!
Kya ehsaas hai....
bahut khoob....

Amit Jii,,

Sharing pasand karne per shukar-guzaar hooN....:)

Regardz,,

Hassan 22nd March 2010 12:17 AM

Wo aik pal ko dikhayai to de kahin Mohsin,
Mai jaan ganva ke bhi us pal ko mukhtasir na karoN!

shaikh ashri 22nd March 2010 09:30 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 367815)
Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karien kesey gavara Mohsin

sach kahoon to jaan hi le li
very nice thought
keep doing

Hassan 24th March 2010 09:59 AM

Thanks a lot...
 
Quote:

Originally Posted by shaikh ashri (Post 386753)
sach kahoon to jaan hi le li
very nice thought
keep doing

Shaikh Ashiri Jii,,

Boht boht shurkiya.....:)

Regardz,,

r_singla95 20th August 2010 05:17 PM

Bahut khoob.......Thanks for sharing sir,................. :)

Hassan 8th November 2010 10:32 PM

Quote:

Originally Posted by r_singla95 (Post 406777)
Bahut khoob.......Thanks for sharing sir,................. :)

Singla Saheb,

Be-had shukriya janab..... :)

Regards,

naresh_mehra110 24th December 2010 07:57 PM

Thanks for sharing ........hassan Ji ! nice one ............. :)

masoodhassas 26th December 2010 12:41 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 364951)
Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin

Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karien kesey gavara Mohsin

..>SilenT<..

Poet: Mohsin Naqvi

aadaab
aaj yahaan se guzraa to janaab muhsin naqvi ke naam ne qadam rok liye
ye badee achhee baat hai ki ostaaz logon ki ghazal ko is tarah se pesh kiyaa jaaye taaki ham jaison ko seekhne ka maoqa mil sake
magar bahot adab w ehteraam se kahgun gaa ki

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

ye sher bahr me nahi hai main ye maanne ko taiyaar hi nahi hun ki janaab muhsin jaise azeem shair ki ye ghalatee ho gee .. naahi aisaa ho hi nahi saktaa ... wo ek shaair hi nahi zabaano bayaan pe qudrat rakhne waale mofakkir hain un ka shumaar waqt ke chotee ke chand shairon me hotaa hai ye janaab us moqaam pe hain jahaan in ke kalaam se daleel di jaatee hai
aise me yaqeenan ye ghalatee typing ki hogee is liye bahot adab ke saath guzaarish hai ise durust kiyaa jaaye
aor wo bhi is liye ki in jaise tamaam shoraa ka kalaam hamaaree waraacat hai jis ki hefaazat ham sab pe farz hai
main ummeed kartaa hun ki jald az jald ise durust kar liyaa jaaye gaa
mukhlis
masood hassaas

zainy 26th December 2010 01:16 AM

Quote:

Originally Posted by masoodhassas (Post 419074)

Hame aagah karaane ke liye bohat bohat shukriyaH Masood sahab,

waise maine bhi is ghazal ko google per bohat dhooNda, aur kayi sites per yeh ayse hi posted hai,Jaise Hassan sahab ne post kiya..

per ek site per sahi ghazal mil gayi,

shayed yeh sher kuch is taraH hai

"Jab aagaya ho ye yaqeeN ab woh nahiN aayega.
Gham aur aaNsu ne diya dil ko sahara mohsin."

mittal_pali 19th March 2011 02:40 AM

nice collection. thanks for sharing...................................

Hassan 13th December 2011 02:09 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 418967)
Thanks for sharing ........hassan Ji ! nice one ............. :)

Boht boht shukriya sir jii.... :)

pallavi_here 14th December 2011 09:08 AM

What an innocent flow and B'ful feels... It just went on.. went on... and touched... Looks like a young small town girl fallen in love...
Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 364953)
Thak Jao Gi

Pagal ankhon wali larki!
Itne mehnge khawab na dekho____
Thak jao gi!!

Kanch se nazuk khawab tumhare
Toot gaye to
Pachtao gi!!

Soch ka sara ujla kundan
Zabt ki rakh mein ghul jaye ga
Kachey pakkey rishton ki khushbo ka resham
khul jaye ga-!!

Tum kia jano?
Khawab, safar ki dhop ke taishey
Khawab, adhori rat ka dozakh
Khawab, khiyalon ka pachtawa
Khawabon ki manzil ruswai!
Khawabon ka hasil tanhai!!

Tum kia jano?
Mehnge khawab kharedna hon to
Ankhien bechna parti hain____Ya
Rishte bholna parte hain

Andeshon ki rait no phanko
Piyas ki aot sarab na dekho
Itne mehnge khawab no dekho--!!
Thak Jao Gi!!

Poet: Mohsin Naqvi

Hassan 15th December 2011 09:33 AM

Quote:

Originally Posted by mittal_pali (Post 424264)
nice collection. thanks for sharing...................................

Thanks a lot.... :)

Take care,

Regards,

Hassan 11th March 2012 11:42 AM

Quote:

Originally Posted by pallavi_here (Post 434350)
What an innocent flow and B'ful feels... It just went on.. went on... and touched... Looks like a young small town girl fallen in love...

Pallavi Jii,,

Thankyou so so much for giving your precious
time to my sharing........ :)

Take very good care of yourself,

Regards,

Hassan 18th July 2014 01:38 AM

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?

Sitare Nochne WaloN
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

- Mohsin Naqvi

Hassan 22nd July 2014 08:37 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 462563)
Behad umda ghazal....good choice hassan thnx for sharing :)

Pleasures Naaz..................... :)

All times are GMT +5.5. The time now is 07:02 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.