Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Humourous Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=22)
-   -   Meri shaadi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78592)

Sagar Aashna 10th January 2015 10:25 PM

Meri shaadi
 
Terms and Conditions:
Mere dil se nikle huye yeh ehsasaat ek shart pe paRhne hongae, meri ahliya mohtrama ko iss baat ka ilm nahi hona chahiye ke unke saath rehne ka tajurba itna pur khuloos hai ke ehsaas khud-ba-khud bayaaN ho rahe haiN :D:D


Shaadi ka wo laddu akhir mujhe bhi toh khana thaa :cool:
YaaroN kya batauN maiN, kya woh zamana thaa

Maare khushi ke hafta bhar neend nahi aayi thii ;)
Suno aap beeti ke jab shaadi maine rachayi thii

SaaliyoN ne fakhar se unnka taaruf jab karwaya thaa
Uss din akhrii dafa maiN muskuraya thaa

Phir jo dekhi paikar unki, jhatka sa laga thaa
Jasaamat mein mustaqabil atkaa sa laga thaa :p

KhaaboN ki malika ka jab deedar hua thaa
Ussi waqt yaaroN maiN beemaar hua thaa

Huyi shaadi ahl-e-mohalla mubarak de rahe thae
Laga tha maano saare jaise chutki le rahe thae :confused:

Ya rab tu ne mere saath kya kar diya
Jeene se pehle he mujhe fanaa kar diya

Khaana, bartan, jhaaRu, pocha unhi dino se seekha hai
Shaadi ka yeh laddu hazrat meetha nahi, teekha hai :D

DaastaaN toh lambi hai, phir kabhi sunauNga
Joru-giri se fursat mili toh khul kar batauNga :D:D:D

SAGAR AASHNA

Hamdam 23rd February 2015 08:18 PM

Jagdish bhai aap bhi istri peerit category meiN haiN , jaan kar dil ko sakoon mila , verna hum tau samjah baithe the ki jahan meiN sifr hum hi biwi ke sataye haiN..

Khair joru giri khatam ho gayee tau baki kahani bhi tafseel se bayan ker dijye ..Apne picture interval pe hi khatam ker di bhai , thori mayusee hui ..

Koi baat nahiN humein aap kw bKI KlM K intezar rahega..

Vaise interval ke baad meri kahani fit rahegi aap ke saath , zara gaur farmayein
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77891

Sanjay Sehgal:D

masti 24th February 2015 06:47 AM

Haha.......

Bohut mazaa aaya apki jorugiri padhkar magar ab to intezaar rahega kahaani puri hone ka.

Ghabraaiye mat hum mein se koi apki pol nahi kholega toh dil khol ka dukhda roiye aur hasaaiye. ����

Madhu 14 24th February 2015 10:28 AM

Quote:

Originally Posted by Sagar Aashna (Post 473724)
Terms and Conditions:
Mere dil se nikle huye yeh ehsasaat ek shart pe paRhne hongae, meri ahliya mohtrama ko iss baat ka ilm nahi hona chahiye ke unke saath rehne ka tajurba itna pur khuloos hai ke ehsaas khud-ba-khud bayaaN ho rahe haiN :D:D


Shaadi ka wo laddu akhir mujhe bhi toh khana thaa :cool:
YaaroN kya batauN maiN, kya woh zamana thaa

Maare khushi ke hafta bhar neend nahi aayi thii ;)
Suno aap beeti ke jab shaadi maine rachayi thii

SaaliyoN ne fakhar se unnka taaruf jab karwaya thaa
Uss din akhrii dafa maiN muskuraya thaa

Phir jo dekhi paikar unki, jhatka sa laga thaa
Jasaamat mein mustaqabil atkaa sa laga thaa :p

KhaaboN ki malika ka jab deedar hua thaa
Ussi waqt yaaroN maiN beemaar hua thaa

Huyi shaadi ahl-e-mohalla mubarak de rahe thae
Laga tha maano saare jaise chutki le rahe thae :confused:

Ya rab tu ne mere saath kya kar diya
Jeene se pehle he mujhe fanaa kar diya

Khaana, bartan, jhaaRu, pocha unhi dino se seekha hai
Shaadi ka yeh laddu hazrat meetha nahi, teekha hai :D

DaastaaN toh lambi hai, phir kabhi sunauNga
Joru-giri se fursat mili toh khul kar batauNga :D:D:D

SAGAR AASHNA

Waah jee waah aap bhi...
bahut khoob bayangi dard e dil ki
jaldi fursat nikaliye aur aage ki kahani..sunaiye...

Sagar Aashna 25th February 2015 07:40 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 474508)
Jagdish bhai aap bhi istri peerit category meiN haiN , jaan kar dil ko sakoon mila , verna hum tau samjah baithe the ki jahan meiN sifr hum hi biwi ke sataye haiN..

Khair joru giri khatam ho gayee tau baki kahani bhi tafseel se bayan ker dijye ..Apne picture interval pe hi khatam ker di bhai , thori mayusee hui ..

Koi baat nahiN humein aap kw bKI KlM K intezar rahega..

Vaise interval ke baad meri kahani fit rahegi aap ke saath , zara gaur farmayein
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77891

Sanjay Sehgal:D

Shukriya janaab..
Aakhir aapki nazar-e-karam meri dukh bhari kahani par paDi. ;-)
Aur aapke ta'asurat yaqeenan apne tajurbe ke basis par haiN, ek dam original :p
Saath dene keliye bahot bahot shukriya.

Sagar Aashna 25th February 2015 07:50 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 474516)
Haha.......

Bohut mazaa aaya apki jorugiri padhkar magar ab to intezaar rahega kahaani puri hone ka.

Ghabraaiye mat hum mein se koi apki pol nahi kholega toh dil khol ka dukhda roiye aur hasaaiye. ����

Shukriya Sarika ji.
Aapne yaqeen dahani kii hai ke aap terms and conditions ko follow kar ke mera yeh raaz ifshaa nahi karengi, to ab maiN aage ki kahani bhi jald sunaane ki koshish karunga :D

Saath dete rahiyega.
Regards

Sagar Aashna 25th February 2015 07:55 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 474529)
Waah jee waah aap bhi...
bahut khoob bayangi dard e dil ki
jaldi fursat nikaliye aur aage ki kahani..sunaiye...


Shukriya Madhu ji..
Yunhi aate rahiye, aage ki bhi zaroor sunuNga :)
Khair andesh

sameer'shaad' 11th June 2015 03:53 PM

hans hans ke lot pot ho raahe hain ham...... taras khaaiye janaab :p :D

Sagar Aashna 14th June 2015 05:16 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 479445)
hans hans ke lot pot ho raahe hain ham...... taras khaaiye janaab :p :D

Maine to ekdam haqeeqat bayaan ki hai sahib, agar aapko issmein hansi aarahi hai to mera qasoor nahi ;-)

Bohot bhot shukriyaa. saTh dete raheiN.


All times are GMT +5.5. The time now is 04:53 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.