Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri Ki Paathshaala

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 5 votes, 5.00 average. Display Modes
Old
  (#1)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Exclamation 28th August 2014, 01:05 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post

hum mile ek zan* se jiskii hansii bhii kamaal thii
wo nasheb-o-faraaz kii ek sachchii misaal thii

(*woman)
waaahh.. wahhh!... be-had umdaH..... lajawaab..... dherooN daad is ba-kamaal shair ke liye!


kathiN nasheeb-o-faraaz se guzartay mehsoos tak na hua!
ghar pohanche to be-hisaab dukhne lagay paaoN ke chaalay..!



*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
28th August 2014, 03:25 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
ae mere maseeha, chaara-gar-o-ghum-khwaar!
mera yaar faraaz pe hai aur maiN pasti meiN
in halaat meiN tu hi bata maiN kia karooN
hansooN ya jee bhar ke aankheN bhigo.oN?

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
bazm-e-yaaraaN se uth aaye haiN yeH soch kar ke!
faraaz ke to hum laaiQ nahi, nasheyb meiN hi jeete haiN!

nasheyb : low, down.. (pasti)

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
na nasheeb hai na faraaz hai...
nahi aati kahiN se us ki awaaz hai
zindagi mujhe raas nahi shayed!
bohat oonchhi meri parwaaz hai..

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
waaahh.. wahhh!... be-had umdaH..... lajawaab..... dherooN daad is ba-kamaal shair ke liye!


kathiN nasheeb-o-faraaz se guzartay mehsoos tak na hua!
ghar pohanche to be-hisaab dukhne lagay paaoN ke chaalay..!

Hasanbhai,

waah! kya ek ke baad ek nazraane pesh kiye haiN! laajavaab....

aur aapkii pyar bharii daad ke liye shukriya


sunaatii rahii wo suhaane fasaane
ghamoN ko jo apne chhipaanaa tha usko
jahaaN gham faraaz pe, ragoN meN, nigaah meN,
nasheboN meN laRnaa gavaaraa tha usko



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif

Last edited by aadeil; 28th August 2014 at 03:41 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
ananthpak
~“ REBELLIOUS IN LOVE “~
ananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud of
 
ananthpak's Avatar
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Dec 2011
Location: Ruatonga,Cook Islands
Rep Power: 24
28th August 2014, 07:14 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post

hum mile ek zan* se jiskii hansii bhii kamaal thii
wo nasheb-o-faraaz kii ek sachchii misaal thii

(*woman)
Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Hasanbhai,

waah! kya ek ke baad ek nazraane pesh kiye haiN! laajavaab....

aur aapkii pyar bharii daad ke liye shukriya


sunaatii rahii wo suhaane fasaane
ghamoN ko jo apne chhipaanaa tha usko
jahaaN gham faraaz pe, ragoN meN, nigaah meN,
nasheboN meN laRnaa gavaaraa tha usko


Waaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhh.....bohat khoob Aadeil sahab....dheron daad





Mohabbat ke ye silsile na the
Jab tak tum hum mile na the

*pari*
  Send a message via Yahoo to ananthpak  
Reply With Quote
Old
  (#4)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
28th August 2014, 05:29 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Hassan & Adil bahot khoob guys....you both did fab job
Thanks dear............................



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
ananthpak
~“ REBELLIOUS IN LOVE “~
ananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud of
 
ananthpak's Avatar
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Dec 2011
Location: Ruatonga,Cook Islands
Rep Power: 24
28th August 2014, 07:21 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Muhabbat kii nasheb-o-faraaz meiN haaN roye bahot
khaalii hath tha khaalii daaman phir bhii khoye bahot

waaaaaahhhhhh!!!!! Good one saali sahiba





Mohabbat ke ye silsile na the
Jab tak tum hum mile na the

*pari*
  Send a message via Yahoo to ananthpak  
Reply With Quote
Old
  (#6)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,725
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
28th August 2014, 09:37 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Muhabbat kii nasheb-o-faraaz meiN haaN roye bahot
khaalii hath tha khaalii daaman phir bhii khoye bahot

Waaaaah

Khaali haat aur khaali daaman hote hue bhi kho diya

Kya baat hai N@zneen ji

Behad hi khoob

Dheron daad


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,725
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
28th August 2014, 11:48 PM

doston ... nasheb-o-faraaz par waaqayee bahaut saare khoobsurat qalaam aaye.

sabhi shoraa ka tah-e-dil se shukrguzaar hoon aur sabhi qadrdaanon ka mashqoor-o-manoon

ab agla lafz le kar haazir ho raha hoon


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
naya lafz
Old
  (#8)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,725
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
naya lafz - 28th August 2014, 11:55 PM



doston ... chaliye ab hum nasheb-o-faraaz ke oonche-neeche safar ki thakaan mitaane ka kuchh intezaam karte hain .... agle lafz ke zariye ...

is baar ek chhota sa, masti bhara, rindon ka azeez lafz hai .... BAADA

"baada" simply means ... wine / spirit / sharaab /madira

"baada" mein "d" is pronounced as in din (day), dus (10), dost (friend)

ye lafz shayari meiN bahaut bahaut baar dekha jaata hai, aur bade hi rindaana andaaz mein dekha jaata hai aksar, magar sanjeeda aur pur-soz khayaal bhi kahe ja sakte hain is ke zariye

baada se bahaut saare jumle hote hain, un mein se kuchh hain :

baada peene waala = baada-kash / baada-khwaar / baada-gusaar

baada peena = baada-noshi / baada-khwaari / baada-aashaami

baada milne ki jagah = baada-khaana

is lafz ki taqti mere hisaab se hai 2X ... any other opinion is welcome.

ab dekhte hain lafz "baada" par ustaad shoraa ke kuchh aashaar ...

la phir ik baar wahee baada-o-jaam ai saaqee
haath aa jaaye mujhe mera maqaam ai saaqee
- Iqbaal

kisee tarah to jame bazm mayyqade waaloN
naheeN jo baada-o-saaghar to ha-o-hoo hi sahi
- Faiz

kuchh mohtasiboN ki khalwat meiN kuchh waaiz ke ghar jaatee hai
hum baada-kashoN ke hisse ki ab jaam meiN kam-tar jaatee hai
- Faiz

hai hawa meiN sharaab ki taameer
baada-noshee hai baada-paimaaee
- Ghalib

ye masaail-e-tasawwuf ye tera bayaan "ghalib"
tujhe hum walee samajhte jo n baada-khwaar hota
- Ghalib

huwee is daur meiN mansoob mujh se baada-aashaamee
phir aaya wo zamaana jab jahaaN meiN jaam-e-jam nikle
- Ghalib

wo cheez jis ke liye hum ko ho bahisht azeez
siwa-e-baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai
- Ghalib

raNg hawa se yooN tapke hai jaise sharaab chhuwaate haiN
aage ho mayy-khaane ke niklo ahd-e-baada-gusaaraaN hai
- Meer Taqi Meer

bik gaye jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar
zindagaanee baada-o-saghar se behlaayee gayee
- Saahir Ludhianvi

"majaaz" ik baada-kash to hai yaqeenan
jo hum sunte the wo aalam naheeN hai
- Majaaz

zaahid mazaa to jab hai azaab-o-sawaab ka
dozakh meiN baada-kash n hoN jannat meiN tu n ho
- Daagh Dehlevi

yahaaN jo kuchh bhi hai wo partav-e-ehsaas hai saaqee
ba-juz baada jawaab-e-gardish-e-aiyyaam kya hoga
- Bekal Utsaahi

baada phir baada hai maiN zeher bhi pee jaaoN "qateel"
shart ye hai koyee baahoN meiN sambhaale mujh ko
- Qateel Shifaaee

tumhaaree berukhee ne laaj rakh li baada-khaane ki
tum aaNkhoN se pila dete to paimaane kahaaN jaate
- Qateel Shifaaee

to hum lafz "baada" par ghaur karenge agle 5 dinon tak, yaani Sept 2nd raat 9:00 PM India time ya 3:30 PM GMT

to intezaar kis baat ka hai !! apne qalaam ko paimaana banaaiye aur lafz "baada" ki baada-noshi ka lutf uthaaiye !!

duaon ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 29th August 2014 at 12:05 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
29th August 2014, 12:38 AM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Muhabbat kii nasheb-o-faraaz meiN haaN roye bahot
khaalii hath tha khaalii daaman phir bhii khoye bahot
waah Naaz...

too good. Excellent thought.



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,725
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
28th August 2014, 09:30 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
waaahh.. wahhh!... be-had umdaH..... lajawaab..... dherooN daad is ba-kamaal shair ke liye!


kathiN nasheeb-o-faraaz se guzartay mehsoos tak na hua!
ghar pohanche to be-hisaab dukhne lagay paaoN ke chaalay..!

Wwwwwwwwaaaaaaahhhhhhhh !!!!!!!! Ye mujhe ek dum taaza khayaal laga .... Bahaut khoob Hassan bhai !!!!!!!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com