ash'aar mere yuuN to zamaane ke liye haiN....jaaN nisaar akhtar -
29th August 2003, 04:39 AM
mehfil-e-sukhan ko aadaab
jaaN nisaar akhtar saahab ki aik pursoz aur purasar Ghazal aapki khidmat meiN pesh kar raha huuN....is Ghazal se mera bohat gehra rishta hai.....ummiid hai ke aapko bhi pasaNd aayegi
ash'aar mere yuuN to zamaane ke liye haiN
kuchh sher faqat unko sunaane ke liye haiN
ab ye bhii nahiiN Thiik ki har dard miTaa deN
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye haiN
aaNkhoN meiN jo bhar loge to kaaNToN se chubheNge
ye Khwaab to palkoN pe sajaane ke liye haiN
dekhuuN tere haathoN ko to lagataa hai tere haath
maNdir meiN faqat diip jalaane ke liye haiN
socho to baDii chiiz hai tahaziib badan kii
varanaa to badan aag bujhaane ke liye haiN
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabeN
ik shaKhs kii yaadoN ko bhulaane ke liye haiN
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
adaab maikash jee - kaafi arse baad aap yahan tashreef laaye hain - aashaa hai ki aap khairiyat se hain - is mehfil ke kuch puraane musafir dekh ke achcha laga -
- aur yeh jo aapne ghazl pesh ki hain - bahut pasand aayi -
ab ye bhii nahiiN Thiik ki har dard miTaa deN
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye haiN
- bahut khoob! -
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabeN
ik shaKhs kii yaadoN ko bhulaane ke liye haiN
- wah wah - aise hi aur bhi post karte rahiyega -
- Mahek -
zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein
surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri
aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 35
24th October 2003, 08:27 PM
JaaN Nisaar Akhtar Saahab ki Ghazal.
ash'aar mere yuuN to zamaane ke liye haiN
kuchh sher faqat unko sunaane ke liye haiN
Bohot achha laga.
ab ye bhii nahiiN Thiik ki har dard miTaa deN
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye haiN
Jawab nehi.
aaNkhoN meiN jo bhar loge to kaaNToN se chubheNge
ye Khwaab to palkoN pe sajaane ke liye haiN
Khubsurat si hein.
dekhuuN tere haathoN ko to lagataa hai tere haath
maNdir meiN faqat diip jalaane ke liye haiN
Wah kitni achhi vhabnaye hein.
socho to baDii chiiz hai tahaziib badan kii
varanaa to badan aag bujhaane ke liye haiN
Sochrahi hu.
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabeN
ik shaKhs kii yaadoN ko bhulaane ke liye haiN
Wah bohot khub. Bohot hi khubsurat gazal tha.
Aapko bohot bohot shukriya ke aapne yeaha lake hume parne ki mouka diya hein. Ish gazal meh bohot kuch samajh neki bhi hein. Kuch yaad agaya hein aur asha karti hu sabko hi achha lage.
Kuch yu hein, Tere paas aake mera waqt gujar jaata hein!!
Do ghari ke liye gum jaane kidhar jaata hein. Jab kabhi dur se tu mujhko nazar aata hein Pyaar hathkar meri aankhon meh sabhar jaata hein. From film Neela Aakash. Thanks once again. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.
*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**