deewaana banaana hai to deewaana banaa de - by Behzaad Luckhnavi -
19th April 2005, 10:31 PM
deewaana banaana hai to deewaana banaa de
warnaa kahien taqdeer tamaashaa na banaa de
ae dekhne walon mujhe hans hans ke na dekho
tum ko bhi mohabbat kahien mujh sa na banaa de
main dhoondh hoon miri wo shama kahan hai
jo bazm ki har cheez ko parwaana banaa de
aakhir koi surat bhi to ho khana-e-dil ki
kabaal nahien banta hai to butkhanaa banaa de
behzaad har ik gaam pe ik sajda-e-masti
har zarre ko sang-e-dar-e-janan na banaa de
- Behzaad Luckhnavi
zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein
surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri
aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
|