Zakhmon ko marhum kehtaa hoon - by Qaisar Zaafree -
19th April 2005, 10:47 PM
Zakhmon ko marhum kehtaa hoon, Qaatil ko maseehaa kehtaa hoon
jo dil me guzraa kartee hain Mein pardaa-pardaa kehtaa hoon
zulfon ko ghaTaayein kehtaa hoon, rukhsaar ko sholaa kehtaa hoon
tum jitne acchhe lagte ho Mein usase acchaa kehtaa hoon
ab reet yahee hai duniyaa kee, tum bhee naa bano beghaanaa kaheen
ilzaam nahee dhartaa tum par ek jee ka DhakDaa kehtaa hoon
Ei soze-wafaa jal-bhujne me, kyaa lazzat haasil hotee hai
jis shaamaa ne daaman fook diyaa us shamaa ko apnaa kehtaa hoon
Ei peere-mugaan khud ko tishnaa kehte huye gairat aatee hai
jo ghoonT piye hai zahar bhare unkho bhee sehbaa kehtaa hoon
har chaak me sau-sau tuhmat hain, har taar me sau-sau rusvaayee
us moD pe hai aashuftaasaree daaman ko dhabaa kehta hoon
arbaabe-chaman jo kehte hain, wo naam mujhe maloom nahee
Jis Shaakh pe koyee phool naa ho Mein usko tammanaa kehtaa hoon
"Qaisar" wo nawaa laa-haasil hai, jo sirf laboon pe lehraaye
Choo le jo dilon kee gehraayee, Main usko Naghmaa kehtaa hoon
- Qaisar Zaafree
zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein
surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri
aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
|