Quote:
Originally Posted by sunita virender
gar hota mumkin to beshak maiN yeh kar deti,
sarra maikhana kaya har maikhana tere naam kar deti,
par jaha to har koi mera diwana hai, eh mere ashiq,
maikhana chorr, Kaash !maangi hoti tune meri zindgi,
bin sochey zindgi naam tere kar deti....................
|
Hi sunita ji kaisi hai aap?
achaa sher hai. vaise aap achaa to likhatee hee hai. jab bhi dhaval milta hai aap ki tareef karta hai. aap ke is shr ke reply men ghulam ali sahaab ki ek ghazal paish karta hoon.
kaun hai jisane may nahin chakkhi
kaun jhuuthi qasam uthaata hai
mayakade se jo bach niakalata hai
teri aankhon mein duub jaata hai
piye ja raha huun, jiye ja raha huun
jawaani ko dhokha diye ja raha huun
judaayi hi tha zindagi ka muqaddar
bahut ji chuka lijiye ja raha huun
bahut zakm khaaye magar raaston par
charaagaan to kuchh kuchh kiye ja raha huun
bhulaana mujhe itana aasaan na hoga
kayi daastaanein diye ja raha huun
kashish koyi aisi hai jine mein ' aarif'
ke mar mar ke bhi main jiye ja raha huun
regards
manu